yun wo meri wafa aazmata raha
yuuñ vo merī vafā āzmātā rahā
duur hotā rahā paas aatā rahā
maiñ ne hālāt se haar maanī nahīñ
barq girtī rahī ghar banātā rahā
le rahā thā mire sabr kā imtihāñ
vo ḳhudā thā mujhe āzmātā rahā
maiñ na jānūñ kahāñ rāsta ḳhatm ho
mujh ko chalnā paḌā vo chalātā rahā
ḳhvāb bantī rahī zindagī aur maiñ
aa.ina zindagī ko dikhātā rahā
log kahte haiñ maiñ sānī-e-'mīr' huuñ
jo hañsā bhī to sab ko rulātā rahā
kaun thā jis ne baḳhshī ġhazal ko ziyā
lab pe 'jāved' kā naam aatā rahā
yun wo meri wafa aazmata raha
dur hota raha pas aata raha
main ne haalat se haar mani nahin
barq girti rahi ghar banata raha
le raha tha mere sabr ka imtihan
wo KHuda tha mujhe aazmata raha
main na jaanun kahan rasta KHatm ho
mujh ko chalna paDa wo chalata raha
KHwab banti rahi zindagi aur main
aaina zindagi ko dikhata raha
log kahte hain main sani-e-'mir' hun
jo hansa bhi to sab ko rulata raha
kaun tha jis ne baKHshi ghazal ko ziya
lab pe 'jawed' ka nam aata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.