yun zabt-e-musalsal ka sila kyun nahin dete
yuuñ zabt-e-musalsal kā sila kyuuñ nahīñ dete
har naqsh-e-tamannā hī miTā kyuuñ nahīñ dete
manzil pe bhī āsūda-e-manzil na huā dil
phir ham ko bhaTakne kī duā kyuuñ nahīñ dete
rah rah ke sulagte haiñ ḳhayāloñ meñ na.e ġham
yādoñ ke saman-zār jalā kyuuñ nahīñ dete
us se to hikāyāt-e-junūñ aur baḌheñgī
chup kyuuñ ho koī baat banā kyuuñ nahīñ dete
dil hai to kahīñ nazr karo kaam to aa.e
sar hai to kisī dar pe jhukā kyuuñ nahīñ dete
ā.īn-e-karam bhuul ga.e ahl-e-nazar bhī
māhaul ko aa.ina dikhā kyuuñ nahīñ dete
miltā hai pata jin ko tire naam se apnā
vo log hameñ terā pata kyuuñ nahīñ dete
kaise maiñ pukāroñ ki bahut duur huuñ tum se
tum dil ke qarīñ ho to sadā kyuuñ nahīñ dete
yun zabt-e-musalsal ka sila kyun nahin dete
har naqsh-e-tamanna hi miTa kyun nahin dete
manzil pe bhi aasuda-e-manzil na hua dil
phir hum ko bhaTakne ki dua kyun nahin dete
rah rah ke sulagte hain KHayalon mein nae gham
yaadon ke saman-zar jala kyun nahin dete
us se to hikayat-e-junun aur baDhengi
chup kyun ho koi baat bana kyun nahin dete
dil hai to kahin nazr karo kaam to aae
sar hai to kisi dar pe jhuka kyun nahin dete
aain-e-karam bhul gae ahl-e-nazar bhi
mahaul ko aaina dikha kyun nahin dete
milta hai pata jin ko tere nam se apna
wo log hamein tera pata kyun nahin dete
kaise main pukaron ki bahut dur hun tum se
tum dil ke qarin ho to sada kyun nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.