yun zindagi ke liye be-qarar hain hum log
yun zindagi ke liye be-qarar hain hum log
Ganesh Gaikwad Aaghaz
MORE BYGanesh Gaikwad Aaghaz
yuuñ zindagī ke liye be-qarār haiñ ham log
shikāyatoñ ke liye sharmsār haiñ ham log
abhī kisī kī nazar se rihā hue haiñ ham
abhī kisī kī nazar meñ farār haiñ ham log
chhupā rahe haiñ ġhamoñ ko yuuñ muskurā kar ham
na.ī sadī ke na.e ishtihār haiñ ham log
shumār yuuñ to hamārā kahīñ nahīñ lekin
sabhī ye kahte haiñ ki be-shumār haiñ ham log
bikhar rahe haiñ abhī ham sañvar rahe haiñ abhī
kabhī haiñ ḳhush to kabhī sogvār haiñ ham log
chukā rahe haiñ abhī qist-e-ārzū ko ham
yuuñ hasratoñ ke abhī qarz-dār haiñ ham log
mahak rahī haiñ fazā.eñ abhī pasīne se
na.ī umiid kī fasl-e-bahār haiñ ham log
yun zindagi ke liye be-qarar hain hum log
shikayaton ke liye sharmsar hain hum log
abhi kisi ki nazar se riha hue hain hum
abhi kisi ki nazar mein farar hain hum log
chhupa rahe hain ghamon ko yun muskura kar hum
nai sadi ke nae ishtihaar hain hum log
shumar yun to hamara kahin nahin lekin
sabhi ye kahte hain ki be-shumar hain hum log
bikhar rahe hain abhi hum sanwar rahe hain abhi
kabhi hain KHush to kabhi sogwar hain hum log
chuka rahe hain abhi qist-e-arzu ko hum
yun hasraton ke abhi qarz-dar hain hum log
mahak rahi hain fazaen abhi pasine se
nai umid ki fasl-e-bahaar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.