yun zindagi ki jang ko laDta raha charagh
yuuñ zindagī kī jañg ko laḌtā rahā charāġh
āñkhoñ meñ raat bhar bujhā bujh kar jalā charāġh
merī ye jaan le ke milegā tujhe bhī kyā
har pal havā se kahtā thā bujhtā huā charāġh
shāyad nishān hai ye mohabbat kā āḳhirī
mere mazār-e-jān pe TuuTā paḌā charāġh
varna ye khārā paanī kisī kaam kā na thā
phir us ne merī aañkh meñ aa kar rakhā charāġh
maiñ ne chhupāyā bhed ye dil kā 'ajab tarah
chehra jalā jo ġham se to us ko kahā charāġh
baḳhshī hai be-ruḳhī ne karāmat ajīb-tar
jalne lage the lafz jo maiñ ne likhā charāġh
utrī jo hijr-e-rāt to raushan huā maiñ yuuñ
siine meñ terī yaad kā jalne lagā charāġh
yādoñ kā kārvān yuuñ raushan hai ās-pās
jab bhī bujhā hai ek jalā hai nayā charāġh
jaate hue to raat sisaktī huī ga.ī
ThanDī havā ne aise thā ghā.il kiyā charāġh
vaise to dil kī aag se raushan vajūd thā
āñkhoñ meñ jal sakā nahīñ dīdār kā charāġh
yuuñ to dhanak ke rang bhī ḳhūbī meñ kam nahīñ
lekin kahāñ hai koī tire husn sā charāġh
yun zindagi ki jang ko laDta raha charagh
aankhon mein raat bhar bujha bujh kar jala charagh
meri ye jaan le ke milega tujhe bhi kya
har pal hawa se kahta tha bujhta hua charagh
shayad nishan hai ye mohabbat ka aaKHiri
mere mazar-e-jaan pe TuTa paDa charagh
warna ye khaara pani kisi kaam ka na tha
phir us ne meri aankh mein aa kar rakha charagh
main ne chhupaya bhed ye dil ka 'ajab tarah
chehra jala jo gham se to us ko kaha charagh
baKHshi hai be-ruKHi ne karamat ajib-tar
jalne lage the lafz jo main ne likha charagh
utri jo hijr-e-raat to raushan hua main yun
sine mein teri yaad ka jalne laga charagh
yaadon ka karwan yun raushan hai aas-pas
jab bhi bujha hai ek jala hai naya charagh
jate hue to raat sisakti hui gai
ThanDi hawa ne aise tha ghail kiya charagh
waise to dil ki aag se raushan wajud tha
aankhon mein jal saka nahin didar ka charagh
yun to dhanak ke rang bhi KHubi mein kam nahin
lekin kahan hai koi tere husn sa charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.