yunhi alfaz ki rawani mein
yūñhī alfāz kī ravānī meñ
mar gayā thā koī kahānī meñ
kar ga.ī surḳh merī āñkhoñ ko
aag rakkhī huī thī paanī meñ
chain sadiyoñ kā kho diyā ham ne
ek lamhe kī bad-gumānī meñ
ek din tahlaka machā dūñgā
maiñ tire dil kī rājdhānī meñ
muddatoñ baa'd koī le aaya
phir mujhe us galī purānī meñ
ḳhvāhish-e-vasl mar ga.ī to 'amīn'
jī uThā hijr zindagānī meñ
yunhi alfaz ki rawani mein
mar gaya tha koi kahani mein
kar gai surKH meri aankhon ko
aag rakkhi hui thi pani mein
chain sadiyon ka kho diya hum ne
ek lamhe ki bad-gumani mein
ek din tahlaka macha dunga
main tere dil ki rajdhani mein
muddaton ba'd koi le aaya
phir mujhe us gali purani mein
KHwahish-e-wasl mar gai to 'amin'
ji uTha hijr zindagani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.