yunhi baaton mein teri dastan tak baat ja pahunchi
yūñhī bātoñ meñ terī dāstāñ tak baat jā pahuñchī
kahāñ se baat niklī thī kahāñ tak baat jā pahuñchī
rafū kar ke abhī baiThe the ham chāk-e-garebāñ ko
tumhārī be-ruḳhī se phir vahāñ tak baat jā pahuñchī
qafas kī tīliyoñ se dostī hone ko thī lekin
tire aate hī phir se āshiyāñ tak baat jā pahuñchī
thā turfa shor ahl-e-kārvāñ meñ apne luTne kā
magar niklī to mere kārvāñ tak baat jā pahuñchī
anādil baaġh ke bechain the jashn-e-bahārāñ ko
khilā.e gul vo gul-chīñ ne ḳhizāñ tak baat jā pahuñchī
yunhi baaton mein teri dastan tak baat ja pahunchi
kahan se baat nikli thi kahan tak baat ja pahunchi
rafu kar ke abhi baiThe the hum chaak-e-gareban ko
tumhaari be-ruKHi se phir wahan tak baat ja pahunchi
qafas ki tiliyon se dosti hone ko thi lekin
tere aate hi phir se aashiyan tak baat ja pahunchi
tha turfa shor ahl-e-karwan mein apne luTne ka
magar nikli to mere karwan tak baat ja pahunchi
anadil bagh ke bechain the jashn-e-bahaaran ko
khilae gul wo gul-chin ne KHizan tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.