yunhi be-nam talluq mein na mare jate
yūñhī be-nām ta'alluq meñ na maare jaate
achchhā hotā jo tire husn pe vaare jaate
bārhā ham ne use ro ke kahā hai sāhab
din judā.ī ke nahīñ ham se guzāre jaate
ham ko ma.alūm na thā aaj magar sochā hai
terī zulfoñ kī tarah baḳht sañvāre jaate
is liye ham ne javānī ko yahāñ bech diyā
be-navāoñ se kahāñ qarz utāre jaate
aaj shiddat se ye ehsās huā hai jānāñ
ham kabhī apne havāle se pukāre jaate
Dūbnā apne muqaddar meñ likhā thā 'tanhā'
kyoñ na phir duur safīne se kināre jaate
yunhi be-nam ta'alluq mein na mare jate
achchha hota jo tere husn pe ware jate
barha hum ne use ro ke kaha hai sahab
din judai ke nahin hum se guzare jate
hum ko malum na tha aaj magar socha hai
teri zulfon ki tarah baKHt sanware jate
is liye hum ne jawani ko yahan bech diya
be-nawaon se kahan qarz utare jate
aaj shiddat se ye ehsas hua hai jaanan
hum kabhi apne hawale se pukare jate
Dubna apne muqaddar mein likha tha 'tanha'
kyon na phir dur safine se kinare jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.