yunhi chup-chap kahin baiTh ke main ro lunga
yūñhī chup-chāp kahīñ baiTh ke maiñ ro lūñgā
tere āñgan kī taraf khiḌkī nahīñ kholūñgā
koī tadbīr nikālūñgā nikal jaane kī
zindagī hijr ke hāthoñ meñ nahīñ rolūñgā
jaise kuchh log ḳhamoshī se chale jaate haiñ
maiñ bhī ik roz kisī aur nagar ho lūñgā
tum se āvāz dabā.ī nahīñ jā.egī mirī
ye zabāñ kaaT bhī Dāloge to maiñ bolūñgā
raat ko mujh se shikāyat nahīñ hogī koī
din kī dahlīz pe sar rakh ke agar so lūñgā
apnī sāñsoñ meñ utārūñgā tire lahje ko
terī har baat ko maiñ ḳhushbuoñ meñ taulūñgā
yunhi chup-chap kahin baiTh ke main ro lunga
tere aangan ki taraf khiDki nahin kholunga
koi tadbir nikalunga nikal jaane ki
zindagi hijr ke hathon mein nahin rolunga
jaise kuchh log KHamoshi se chale jate hain
main bhi ek roz kisi aur nagar ho lunga
tum se aawaz dabai nahin jaegi meri
ye zaban kaT bhi Daloge to main bolunga
raat ko mujh se shikayat nahin hogi koi
din ki dahliz pe sar rakh ke agar so lunga
apni sanson mein utarunga tere lahje ko
teri har baat ko main KHushbuon mein taulunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.