yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein
yūñhī gar lutf tum lete rahoge ḳhuuñ bahāne meñ
to bismil hī nazar ā.eñge har sū is zamāne meñ
zarā dam lo to phir tum ko sunā.īñ dāstāñ dil kī
abhī kuchh rañg bharnā hai hameñ ġham ke fasāne meñ
lahū se ho ga.ī rañgīn dekho āstīñ apnī
hazāroñ koshisheñ kiiñ tum ne go dāman bachāne meñ
yahī kah kar asīrān-e-qafas aañsū bahāte haiñ
qafas meñ vo kahāñ rāhat milī jo āshiyāne meñ
kuchh aisā be-ḳhudī-e-shauq ne behis banāyā hai
aziyyat ab nahīñ mahsūs hotī tiir khāne meñ
vo barham hoñge duniyā jaan legī raaz ulfat kā
vafā par harf aa jā.egā do aañsū bahāne meñ
davā kā vaqt ab baaqī nahīñ hañgām-e-ruḳhsat hai
sidhāreñ chāra-gar ab der kyā hai niiñd aane meñ
balā se bijliyāñ girtī haiñ duniyā par gireñ lekin
maza miltā hai un ko dam-ba-dam yuuñ muskurāne meñ
munāsib hai yahī 'rif.at' ki baaz aao mohabbat se
hai lāzim jaan kā ḳhatra kisī se dil lagāne meñ
yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein
to bismil hi nazar aaenge har su is zamane mein
zara dam lo to phir tum ko sunain dastan dil ki
abhi kuchh rang bharna hai hamein gham ke fasane mein
lahu se ho gai rangin dekho aastin apni
hazaron koshishen kin tum ne go daman bachane mein
yahi kah kar asiran-e-qafas aansu bahate hain
qafas mein wo kahan rahat mili jo aashiyane mein
kuchh aisa be-KHudi-e-shauq ne behis banaya hai
aziyyat ab nahin mahsus hoti tir khane mein
wo barham honge duniya jaan legi raaz ulfat ka
wafa par harf aa jaega do aansu bahane mein
dawa ka waqt ab baqi nahin hangam-e-ruKHsat hai
sidhaaren chaara-gar ab der kya hai nind aane mein
bala se bijliyan girti hain duniya par giren lekin
maza milta hai un ko dam-ba-dam yun muskurane mein
munasib hai yahi 'rifat' ki baz aao mohabbat se
hai lazim jaan ka KHatra kisi se dil lagane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.