yunhi kabhi machal gae yunhi kabhi bahal gae
yūñhī kabhī machal ga.e yūñhī kabhī bahal ga.e
ham ko kahāñ qarār thā tum se mile sañbhal ga.e
dil kī kabhī sunī nahīñ aur kabhī to be-sabab
aañkh zarā sī nam huī us kī taraf nikal ga.e
yūñhī raheñge raat din yūñhī zamīn-o-āsmāñ
tum jo kabhī badal ga.e ham jo kabhī badal ga.e
koī darīcha vā huā koī na aayā baam par
aaj ye kis galī se ham gaate hue ġhazal ga.e
yunhi kabhi machal gae yunhi kabhi bahal gae
hum ko kahan qarar tha tum se mile sanbhal gae
dil ki kabhi suni nahin aur kabhi to be-sabab
aankh zara si nam hui us ki taraf nikal gae
yunhi rahenge raat din yunhi zamin-o-asman
tum jo kabhi badal gae hum jo kabhi badal gae
koi daricha wa hua koi na aaya baam par
aaj ye kis gali se hum gate hue ghazal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.