yunhi milte rahen hum tum koi wada na karen
yūñhī milte raheñ ham tum koī vā'da na kareñ
ham ko jiinā hai to ḳhvāboñ pe bharosā na kareñ
maiñ bhī is daur kā insāñ huuñ farishta to nahīñ
aap is tarh mirī āñkhoñ se uljhā na kareñ
phir udhar jaa.eñ usī shaḳhs ko dekheñ dukh ho
is se behtar hai ki us raah se guzrā na kareñ
kaun jaane ki mujhe kab kahāñ jaanā hogā
gardishoñ se ye batā do mirā pīchhā na kareñ
kuchh ḳhayālāt luTere bhī huā karte haiñ
dil ke darvāze khule chhoḌ ke soyā na kareñ
ab ye andāz-e-bayāñ koī na samjhegā 'bashīr'
'ġhālib'-o-'mīr' ke andāz meñ sochā na kareñ
yunhi milte rahen hum tum koi wa'da na karen
hum ko jina hai to KHwabon pe bharosa na karen
main bhi is daur ka insan hun farishta to nahin
aap is tarh meri aankhon se uljha na karen
phir udhar jaen usi shaKHs ko dekhen dukh ho
is se behtar hai ki us rah se guzra na karen
kaun jaane ki mujhe kab kahan jaana hoga
gardishon se ye bata do mera pichha na karen
kuchh KHayalat luTere bhi hua karte hain
dil ke darwaze khule chhoD ke soya na karen
ab ye andaz-e-bayan koi na samjhega 'bashir'
'ghaalib'-o-'mir' ke andaz mein socha na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.