yunhi milte raho mohabbat se
yūñhī milte raho mohabbat se
kaam ho jā.egā suhūlat se
mujh ko par kāTne paḌe apne
peḌ marne lage the hijrat se
dard ġham hijr aur rusvā.ī
kaam itne aur ek ujrat se
muddatoñ baa'd us ke chehre par
ik tabassum hai vo bhī zahmat se
aage baḌhtā to jhuuT kahlātā
sach ko rokā gayā mahārat se
bārhā ghar kī hai tarāsh huī
bad-numā ho gayā marammat se
aaj Thukrā rahī ho jis ko tum
kal ḳharīdogī us ko daulat se
zindagī ho ki ho tumhārā libās
saarī girheñ khulī haiñ mehnat se
yunhi milte raho mohabbat se
kaam ho jaega suhulat se
mujh ko par kaTne paDe apne
peD marne lage the hijrat se
dard gham hijr aur ruswai
kaam itne aur ek ujrat se
muddaton ba'd us ke chehre par
ek tabassum hai wo bhi zahmat se
aage baDhta to jhuT kahlata
sach ko roka gaya mahaarat se
barha ghar ki hai tarash hui
bad-numa ho gaya marammat se
aaj Thukra rahi ho jis ko tum
kal KHaridogi us ko daulat se
zindagi ho ki ho tumhaara libas
sari girhen khuli hain mehnat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.