yunhi nahin hun KHud se main bahar paDa hua
yūñhī nahīñ huuñ ḳhud se maiñ bāhar paḌā huā
koī hai āj-kal mire andar paḌā huā
ye kā.enāt hai nahīñ āmājgāh-e-ḳhair
har ḳhair meñ milegā koī shar paḌā huā
chaltā huuñ terī raah meñ juute nikāl kar
hālāñki har qadam pe hai kankar paḌā huā
dīvān se paḌho mire ash'ār rah-zano
dīvān meñ milegā tumheñ zar paḌā huā
Duube haiñ us ko dekh ke tairāk bhī hazār
hai jal-parī kī aañkh meñ sāgar paḌā huā
paañv ke nīche tere mirā aa gayā thā dil
tab se hai naqsh-e-pā mire dil par paḌā huā
yunhi nahin hun KHud se main bahar paDa hua
koi hai aaj-kal mere andar paDa hua
ye kaenat hai nahin aamajgah-e-KHair
har KHair mein milega koi shar paDa hua
chalta hun teri rah mein jute nikal kar
haalanki har qadam pe hai kankar paDa hua
diwan se paDho mere ash'ar rah-zano
diwan mein milega tumhein zar paDa hua
Dube hain us ko dekh ke tairak bhi hazar
hai jal-pari ki aankh mein sagar paDa hua
panw ke niche tere mera aa gaya tha dil
tab se hai naqsh-e-pa mere dil par paDa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.