yunhi nazron se kahan ahl-e-nazar girte hain
yūñhī nazroñ se kahāñ ahl-e-nazar girte haiñ
jin kī buniyād nahīñ hotī vo ghar girte haiñ
mere āñgan kī chamelī inheñ roke rahnā
ye sunā hai mirī dīvār se dar girte haiñ
haath meñ apne maiñ shamshīr liye phirtā huuñ
dil meñ ma.asūm tamannāoñ ke sar girte haiñ
vo bhī hijrat meñ mirī pher ke muñh rotā hai
mere aañsū bhī bahut vaqt-e-safar girte haiñ
vo hilā detā hai yādoñ ke shajar chupke se
phir bhī pahle se kahāñ un se samar girte haiñ
yunhi nazron se kahan ahl-e-nazar girte hain
jin ki buniyaad nahin hoti wo ghar girte hain
mere aangan ki chameli inhen roke rahna
ye suna hai meri diwar se dar girte hain
hath mein apne main shamshir liye phirta hun
dil mein masum tamannaon ke sar girte hain
wo bhi hijrat mein meri pher ke munh rota hai
mere aansu bhi bahut waqt-e-safar girte hain
wo hila deta hai yaadon ke shajar chupke se
phir bhi pahle se kahan un se samar girte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.