yunhi pahchan ke sare hawale TuT jate hain
yūñhī pahchān ke saare havāle TuuT jaate haiñ
jo bandhan kachche hote haiñ vo saare TuuT jaate haiñ
nasab ke ḳhuun ke mansab ke tum lākhoñ sahāre do
na hoñ jazboñ pe jo qaa.em vo rishte TuuT jaate haiñ
mirī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar kyā jhuuT bologe
kabhī kyā tum ne sochā hai ki lahje TuuT jaate haiñ
amīr-e-shahr ke bachche kī ik nazar-e-hiqārat se
mire bachche ke maaTī ke khilaune TuuT jaate haiñ
'sadaf' be-bas hai kamlī meñ use apnī amaañ diije
mire aaqā zamāne ke to va.ade TuuT jaate haiñ
yunhi pahchan ke sare hawale TuT jate hain
jo bandhan kachche hote hain wo sare TuT jate hain
nasab ke KHun ke mansab ke tum lakhon sahaare do
na hon jazbon pe jo qaem wo rishte TuT jate hain
meri aankhon mein aankhen Dal kar kya jhuT bologe
kabhi kya tum ne socha hai ki lahje TuT jate hain
amir-e-shahr ke bachche ki ek nazar-e-hiqarat se
mere bachche ke maTi ke khilaune TuT jate hain
'sadaf' be-bas hai kamli mein use apni aman dije
mere aaqa zamane ke to wade TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.