yunhi se chand wahime kuchh bad-gumaniyan
yunhi se chand wahime kuchh bad-gumaniyan
Akhilesh Chandra Pandey
MORE BYAkhilesh Chandra Pandey
yūñhī se chand vāhime kuchh bad-gumāniyāñ
taḳhlīq in hī se huiiñ kitnī kahāniyāñ
kuchh kam nahīñ hai shoḳh mire dard kā bhī rang
us kī hikāyatoñ meñ go raaje na rāniyāñ
thoḌā junūn ik zarā vahshat aur inhirāf
in ke baġhair chiiz kyā hotīñ javāniyāñ
yūñhī kabhī-kabhār to pariyoñ kī baat ho
jādūgarī nahīñ sahī jādū-bayāniyāñ
kumba bharā bharā thā koī kal usī jagah
miltī haiñ zer-e-ḳhāk ab us kī nishāniyāñ
'sonū' unheñ manā ki mo.attar ho phir se raat
rūThī paḌī haiñ muddatoñ se rāt-rāniyāñ
yunhi se chand wahime kuchh bad-gumaniyan
taKHliq in hi se huin kitni kahaniyan
kuchh kam nahin hai shoKH mere dard ka bhi rang
us ki hikayaton mein go raje na raniyan
thoDa junun ek zara wahshat aur inhiraf
in ke baghair chiz kya hotin jawaniyan
yunhi kabhi-kabhaar to pariyon ki baat ho
jadugari nahin sahi jadu-bayaniyan
kumba bhara bhara tha koi kal usi jagah
milti hain zer-e-KHak ab us ki nishaniyan
'sonu' unhen mana ki moattar ho phir se raat
ruThi paDi hain muddaton se raat-raniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.