yusuf ki tarah raunaq-e-bazar main hi tha
yūsuf kī tarah raunaq-e-bāzār maiñ hī thā
pūñjī thā maiñ hī aur ḳharīdār maiñ hī thā
vo jis ke tiir se mirā siina huā figār
gar tū yaqīñ kare mire ġham-ḳhvār maiñ hī thā
kal mai-kade meñ Thiik hī dekhā thā aap ne
bā-sāhibān-e-jubba-o-dastār maiñ hī thā
us kā to mere vāste āġhosh vā rahā
duniyā-e-āb-o-rang se bezār maiñ hī thā
tā umr apne aap ko detā rahā fareb
poshīda apne aap meñ ġhaddār maiñ hī thā
dekhā ye aap ne mirā andāz-e-ḳhud-kushī
ḳhud apne dushmanoñ kā taraf-dār maiñ hī thā
jis kī binā thī ret pe jis meñ lagī thī laakh
us qasr-e-be-asās kā me.amār maiñ hī thā
ilzām us ko duuñ bhī to kis muñh se ai 'valī'
jab har sulūk-e-bad kā sazā-vār maiñ hī thā
yusuf ki tarah raunaq-e-bazar main hi tha
punji tha main hi aur KHaridar main hi tha
wo jis ke tir se mera sina hua figar
gar tu yaqin kare mere gham-KHwar main hi tha
kal mai-kade mein Thik hi dekha tha aap ne
ba-sahiban-e-jubba-o-dastar main hi tha
us ka to mere waste aaghosh wa raha
duniya-e-ab-o-rang se bezar main hi tha
ta umr apne aap ko deta raha fareb
poshida apne aap mein ghaddar main hi tha
dekha ye aap ne mera andaz-e-KHud-kushi
KHud apne dushmanon ka taraf-dar main hi tha
jis ki bina thi ret pe jis mein lagi thi lakh
us qasr-e-be-asas ka meamar main hi tha
ilzam us ko dun bhi to kis munh se ai 'wali'
jab har suluk-e-bad ka saza-war main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.