zad-e-rah bhi nahin be-raKHt-e-safar jate hain
zād-e-rah bhī nahīñ be-raḳht-e-safar jaate haiñ
saḳht hairat hai ki ye log kidhar jaate haiñ
be-ḳhudī meñ tire dīvāne jidhar jaate haiñ
manzileñ pūchhtī phirtī haiñ kidhar jaate haiñ
vaqt paḌ jaa.e to ham sīna-sipar jaate haiñ
naam hī naam nahīñ kaam bhī kar jaate haiñ
haa.e kis moḌ pe hālāt ne pahuñchāyā hai
aap ham-sā.e se ham saa.e se Dar jaate haiñ
ohde-dāroñ meñ bhī ḳhushbū hai hasīnoñ kī sī
va.ada kar lete haiñ aur saaf mukar jaate haiñ
aap jā sakte nahīñ chāñd-sitāroñ se pare
ham varā-e-had-e-idrāk-e-nazar jaate haiñ
aap ke tanz sar āñkhoñ pe magar yaad rahe
ye vo nashtar haiñ ke siine meñ utar jaate haiñ
jab bhī hotā hai kahīñ tazkira-e-mehr-o-vafā
bhūle-bisre hue kuchh naqsh ubhar jaate haiñ
ilm ke saath salīqa ho to phir kyā kahnā
rañg-e-uslūb' se afkār nikhar jaate haiñ
aap dekheñ ye mirī niiñd se bojhal āñkheñ
ho chukī raat ijāzat ho to ghar jaate haiñ
zulf kholo to ghanī chhāñv maiñ kuchh sustā leñ
do-ghaḌī ke liye saa.e meñ Thahar jaate haiñ
zaḳhm alfāz ke nāsūr huā karte haiñ
baat zaḳhmoñ ki nahīñ zaḳhm to bhar jaate haiñ
ham to vārafta-e-ulfat meñ hamārā kyā hai
aaj ye raat ga.e aap kidhar jaate haiñ
kuchh na kuchh hote haiñ har shahr meñ fan ke pārakh
qadr hotī hai jahāñ ahl-e-hunar jaate haiñ
laakh sanjīda sahī 'tāj' hasīnoñ kī ravish
dil uḌā lene ke andāz kidhar jaate haiñ
zad-e-rah bhi nahin be-raKHt-e-safar jate hain
saKHt hairat hai ki ye log kidhar jate hain
be-KHudi mein tere diwane jidhar jate hain
manzilen puchhti phirti hain kidhar jate hain
waqt paD jae to hum sina-sipar jate hain
nam hi nam nahin kaam bhi kar jate hain
hae kis moD pe haalat ne pahunchaya hai
aap ham-sae se hum sae se Dar jate hain
ohde-daron mein bhi KHushbu hai hasinon ki si
wada kar lete hain aur saf mukar jate hain
aap ja sakte nahin chand-sitaron se pare
hum wara-e-had-e-idrak-e-nazar jate hain
aap ke tanz sar aankhon pe magar yaad rahe
ye wo nashtar hain ke sine mein utar jate hain
jab bhi hota hai kahin tazkira-e-mehr-o-wafa
bhule-bisre hue kuchh naqsh ubhar jate hain
ilm ke sath saliqa ho to phir kya kahna
rang-e-uslub' se afkar nikhar jate hain
aap dekhen ye meri nind se bojhal aankhen
ho chuki raat ijazat ho to ghar jate hain
zulf kholo to ghani chhanw main kuchh susta len
do-ghaDi ke liye sae mein Thahar jate hain
zaKHm alfaz ke nasur hua karte hain
baat zaKHmon ki nahin zaKHm to bhar jate hain
hum to warafta-e-ulfat mein hamara kya hai
aaj ye raat gae aap kidhar jate hain
kuchh na kuchh hote hain har shahr mein fan ke parakh
qadr hoti hai jahan ahl-e-hunar jate hain
lakh sanjida sahi 'taj' hasinon ki rawish
dil uDa lene ke andaz kidhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.