zahid bhi meri tarah usi par fida na ho
zāhid bhī merī tarah usī par fidā na ho
ka.abe ke parde meñ but-e-kāfir chhupā na ho
taqdīr hai ḳhilāf tumhārī ḳhatā nahīñ
bigḌo hamīñ se aur kisī se ḳhafā na ho
āmīn kah rahe haiñ butān-e-sanam-kada
maqbūl bārgāh-e-ḳhudā kyoñ duā na ho
badlā agar vafā kā jafā ho jahān meñ
o nā-shanās qadr-e-vafā phir vafā na ho
pā-e-sanam pe sar hai tamanna ye dil meñ hai
mere sivā qubūl kisī kī duā na ho
ulTeñ to kis ke sāmne ulTeñ naqāb-e-ruḳh
jab koī un kā dekhne vaalā rahā na ho
qātil ye aarzū tire bismil ke dil meñ hai
ḳhanjar hilāl ban ke gale se judā na ho
baaqī rahe na had koī tere ġhurūr kī
o bevafā jo husn tirā bevafā na ho
sajda kareñ ham us but-e-kāfir ko dair meñ
kuchh be-ḳhudī-e-ishq meñ ḳhauf-e-ḳhudā na ho
apnā ḳhirām-e-nāz abas dekhte ho tum
dekho mirā nishān-e-lahad miT gayā na ho
zāhid haram se laa.e tujhe kaun khīñch kar
gar but-kade meñ jalva-e-shān-e-ḳhudā na ho
marne ke baad un kī hayā ham se kam huī
vo kah rahe haiñ rūThne vaale ḳhafā na ho
ranjīda ho ke dar se jo uThtā huuñ kahte haiñ
duniyā meñ zindagī se koī yuuñ ḳhafā na ho
aate ho tum jo roz ayādat ke vāste
maqsūd is se ye hai ki mujh ko shifā na ho
sāqī-e-pāk-dil hameñ aatā nahīñ maza
jab tak sharīk-e-daur koī pārsā na ho
vo hukm de chuke haiñ ki ab un kī bazm meñ
duniyā kī guftugū ho mirā tazkira na ho
qadmoñ pe sar jhukā.e baḌī der ho ga.ī
bāheñ gale meñ Daal bhī do ab ḳhafā na ho
saaqī pilā ḳhudā ke liye aaj raat bhar
is kī to kuchh ḳhabar nahīñ kal kyā ho kyā na ho
'naushād' vo jo naaz se aa.eñ to dekhnā
jis kā qazā hai naam vo un kī adā na ho
zahid bhi meri tarah usi par fida na ho
kabe ke parde mein but-e-kafir chhupa na ho
taqdir hai KHilaf tumhaari KHata nahin
bigDo hamin se aur kisi se KHafa na ho
aamin kah rahe hain butan-e-sanam-kada
maqbul bargah-e-KHuda kyon dua na ho
badla agar wafa ka jafa ho jahan mein
o na-shanas qadr-e-wafa phir wafa na ho
pa-e-sanam pe sar hai tamanna ye dil mein hai
mere siwa qubul kisi ki dua na ho
ulTen to kis ke samne ulTen naqab-e-ruKH
jab koi un ka dekhne wala raha na ho
qatil ye aarzu tere bismil ke dil mein hai
KHanjar hilal ban ke gale se juda na ho
baqi rahe na had koi tere ghurur ki
o bewafa jo husn tera bewafa na ho
sajda karen hum us but-e-kafir ko dair mein
kuchh be-KHudi-e-ishq mein KHauf-e-KHuda na ho
apna KHiram-e-naz abas dekhte ho tum
dekho mera nishan-e-lahad miT gaya na ho
zahid haram se lae tujhe kaun khinch kar
gar but-kade mein jalwa-e-shan-e-KHuda na ho
marne ke baad un ki haya hum se kam hui
wo kah rahe hain ruThne wale KHafa na ho
ranjida ho ke dar se jo uThta hun kahte hain
duniya mein zindagi se koi yun KHafa na ho
aate ho tum jo roz ayaadat ke waste
maqsud is se ye hai ki mujh ko shifa na ho
saqi-e-pak-dil hamein aata nahin maza
jab tak sharik-e-daur koi parsa na ho
wo hukm de chuke hain ki ab un ki bazm mein
duniya ki guftugu ho mera tazkira na ho
qadmon pe sar jhukae baDi der ho gai
bahen gale mein Dal bhi do ab KHafa na ho
saqi pila KHuda ke liye aaj raat bhar
is ki to kuchh KHabar nahin kal kya ho kya na ho
'naushad' wo jo naz se aaen to dekhna
jis ka qaza hai nam wo un ki ada na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.