zahid dar-e-masjid pe KHarabaat ki tu ne
zāhid dar-e-masjid pe ḳharābāt kī tū ne
jī bhī yūñhī chāhe thā karāmāt kī tū ne
jaane de bas ab yaar ki ye bhī nahīñ kuchh kam
a.amāl kī dil ke jo mukāfāt kī tū ne
īdhar to maiñ nālāñ huuñ udhar ġhair na jaane
ab kis se mirī jaan mulāqāt kī tū ne
allāh-rī mohabbat tirī ta.alīm ki jo baat
dushvār thī mujh par so musāvāt kī tū ne
'qā.em' rah-e-pur-ḳhauf hai aur duur hai manzil
kab pahuñchegā zālim jo yahīñ raat kī tū ne
zahid dar-e-masjid pe KHarabaat ki tu ne
ji bhi yunhi chahe tha karamat ki tu ne
jaane de bas ab yar ki ye bhi nahin kuchh kam
aamal ki dil ke jo mukafat ki tu ne
idhar to main nalan hun udhar ghair na jaane
ab kis se meri jaan mulaqat ki tu ne
allah-ri mohabbat teri talim ki jo baat
dushwar thi mujh par so musawat ki tu ne
'qaem' rah-e-pur-KHauf hai aur dur hai manzil
kab pahunchega zalim jo yahin raat ki tu ne
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.