zahid ko apne zohd pe kis darja naz hai
zāhid ko apne zohd pe kis darja naaz hai
us ne sunā nahīñ ki ḳhudā be-niyāz hai
tum sham.a-rū ho maiñ to mujassam huuñ ek sham.a
rag rag meñ merī hālat-e-soz-o-gudāz hai
ai chāra-sāz pahle nikāl us ko khīñch kar
ik tiir siine meñ nafas-e-jāñ-gudāz hai
ḳhidmat ko merī aaj bhī hāzir hai āsmāñ
vo is ko kyā kare ki mujhe ehtirāz hai
zāhid mai-e-tahūr bhī āḳhir sharāb hai
mujh ko to manā kartā hai tū kab majāz hai
pahle gunāhgār hī pahuñche bahisht meñ
vo to baḌā karīm baḌā be-niyāz hai
lillāh ai hujūm-e-tamannā zarā Thahar
ye vaqt-e-ruḳhsat-e-nafas-e-jāñ-gudāz hai
roz-e-qayāmat aaj to vaa.iz dharā nahīñ
ik umr chāhiye use muddat darāz hai
ġhurbat meñ mujh se pūchhtī hai merī bekasī
yaañ ai ġharīb kaun tirā chāra-sāz hai
ai ham-rahāñ baḌhā.e hue ab qadam chalo
din muḳhtasar hai aur masāfat darāz hai
sotā banā hai naaz se koī shab-e-visāl
haañ vāqa.ī ye ḳhvāb hai ye ḳhvāb-e-nāz hai
ai dil na kar har ek se tū shikva-e-raqīb
kambaḳht is meñ terā hī ifshā-e-rāz hai
āḳhir masīh ne bhī liyā apnā haath khīñch
parvardigār tū hī bas ab chāra-sāz hai
tum aur tum se mel kare koī pāk-bāz
achchhī kahī ki ġhair baḌā pāk-bāz hai
tarz-e-sitam kuchh aur ab ījād kījiye
tirchhī nazar to ek pasandīda naaz hai
'nādir' nikal gayā hai agar koī sher-e-garm
siine kā soz hai mire dil kā gudāz hai
zahid ko apne zohd pe kis darja naz hai
us ne suna nahin ki KHuda be-niyaz hai
tum shama-ru ho main to mujassam hun ek shama
rag rag mein meri haalat-e-soz-o-gudaz hai
ai chaara-saz pahle nikal us ko khinch kar
ek tir sine mein nafas-e-jaan-gudaz hai
KHidmat ko meri aaj bhi hazir hai aasman
wo is ko kya kare ki mujhe ehtiraaz hai
zahid mai-e-tahur bhi aaKHir sharab hai
mujh ko to mana karta hai tu kab majaz hai
pahle gunahgar hi pahunche bahisht mein
wo to baDa karim baDa be-niyaz hai
lillah ai hujum-e-tamanna zara Thahar
ye waqt-e-ruKHsat-e-nafas-e-jaan-gudaz hai
roz-e-qayamat aaj to waiz dhara nahin
ek umr chahiye use muddat daraaz hai
ghurbat mein mujh se puchhti hai meri bekasi
yan ai gharib kaun tera chaara-saz hai
ai ham-rahan baDhae hue ab qadam chalo
din muKHtasar hai aur masafat daraaz hai
sota bana hai naz se koi shab-e-visal
han waqai ye KHwab hai ye KHwab-e-naz hai
ai dil na kar har ek se tu shikwa-e-raqib
kambaKHt is mein tera hi ifsha-e-raaz hai
aaKHir masih ne bhi liya apna hath khinch
parwardigar tu hi bas ab chaara-saz hai
tum aur tum se mel kare koi pak-baz
achchhi kahi ki ghair baDa pak-baz hai
tarz-e-sitam kuchh aur ab ijad kijiye
tirchhi nazar to ek pasandida naz hai
'nadir' nikal gaya hai agar koi sher-e-garm
sine ka soz hai mere dil ka gudaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.