zahir do-rangi-e-chaman-e-rozgar hai
zāhir do-rangī-e-chaman-e-rozgār hai
do din ḳhizāñ hai baaġh meñ do din bahār hai
jaama guloñ kā hijr meñ shab tār-tār hai
bulbul asīr-e-dām hai qumrī shikār hai
un kī safā.iyoñ kā kise e.atibār hai
dil meñ ba-shakl-e-ā.ina jin ke ġhubār hai
ġhunche shagufta hote haiñ nālāñ hazār hai
bulbul kī hai ḳhizāñ to guloñ kī bahār hai
hāthoñ uchhal rahā hai jigar iztirār hai
kyā be-qarār aaj dil-e-be-qarār hai
marne pe bhī shikasta-dilī āshkār hai
biksā huā chahār taraf se mazār hai
karvaT idhar-udhar kī badalnā muhāl hai
betāb dil mirā hai jigar be-qarār hai
āshiq se kajravī na kare kyoñ vo māh-vash
sīdhā kisī se kab falak-e-kaj-madār hai
maqtal meñ zaḳhmiyoñ ko ho paanī kī ḳhaak chaah
teġh-e-nigāh-e-yār baḌī āb-dār hai
paanī kī tarah saaf haiñ zāhir meñ ye hasīn
bātin meñ shakl-e-ā.ina lekin ġhubār hai
āñkhoñ meñ aa ke jaan nikaltī nahīñ mirī
kuchh maut se bhī saḳht shab-e-intizār hai
kuchh ban ga.ī hai mere kabūtar pe raah meñ
āñkhoñ ko intizār hai dil be-qarār hai
abrū-e-yār se ye pasīna hai kab ravāñ
jaarī sabīl-e-āb-e-dam-e-zulfiqār hai
zulm in butoñ ke tujh pe raheñge yūhīñ sadā
ai dil yahī mashiyyat-e-parvardigār hai
kyā pūchhte ho dil mirā lene ko ai buto
go jabr hai pe ḳhair tumheñ iḳhtiyār hai
be-vaj.h zalzala nahīñ aaya jahān meñ
shāyad kisī kā qabr meñ dil be-qarār hai
shaq jā-ba-jā se ho gayā sang-e-sar-e-lahad
yuuñ be-qarār aaj dil-e-be-qarār hai
kyūñkar na khā.ūñ koh-o-bayābāñ kī Thokareñ
banda-navāz dil pe kise iḳhtiyār hai
ik sang-dil lahad kā mire sang le gayā
afsos be-nishān hamārā mazār hai
madfan mirā banā ke raqīboñ se ye kahā
jo mujh pe mar gayā hai ye us kā mazār hai
manzūr vasl hai to karo aaj hī qubūl
duniyā meñ zindagī kā kise e.atibār hai
nādim huuñ maiñ to apne gunāhoñ pe ai karīm
ab baḳhshe yā na baḳhshe tujhe iḳhtiyār hai
jāñ-kandanī meñ dekh ke pūchhā kisī se yuuñ
ye vaqt-e-naz.a hai ki dam-e-ehtizār hai
āhista rakkho qabr pe ai rahravo qadam
hai pāsh-pāsh dil to kaleja figār hai
ruḳhsat ko maiñ musir jo huā hañs ke ye kahā
jaate ho gar to jaao tumheñ iḳhtiyār hai
aate haiñ vo kabhī jo mirī qabr kī taraf
Thukrā ke pūchhte haiñ ye kis kā mazār hai
kyūñkar mizāj meñ na ho 'fāḳhir' ke inkisār
ḳhādim abū-turāb kā hai ḳhāksār hai
zahir do-rangi-e-chaman-e-rozgar hai
do din KHizan hai bagh mein do din bahaar hai
jama gulon ka hijr mein shab tar-tar hai
bulbul asir-e-dam hai qumri shikar hai
un ki safaiyon ka kise eatibar hai
dil mein ba-shakl-e-aina jin ke ghubar hai
ghunche shagufta hote hain nalan hazar hai
bulbul ki hai KHizan to gulon ki bahaar hai
hathon uchhal raha hai jigar iztirar hai
kya be-qarar aaj dil-e-be-qarar hai
marne pe bhi shikasta-dili aashkar hai
biksa hua chahaar taraf se mazar hai
karwaT idhar-udhar ki badalna muhaal hai
betab dil mera hai jigar be-qarar hai
aashiq se kajrawi na kare kyon wo mah-wash
sidha kisi se kab falak-e-kaj-madar hai
maqtal mein zaKHmiyon ko ho pani ki KHak chah
tegh-e-nigah-e-yar baDi aab-dar hai
pani ki tarah saf hain zahir mein ye hasin
baatin mein shakl-e-aina lekin ghubar hai
aankhon mein aa ke jaan nikalti nahin meri
kuchh maut se bhi saKHt shab-e-intizar hai
kuchh ban gai hai mere kabutar pe rah mein
aankhon ko intizar hai dil be-qarar hai
abru-e-yar se ye pasina hai kab rawan
jari sabil-e-ab-e-dam-e-zulfiqar hai
zulm in buton ke tujh pe rahenge yuhin sada
ai dil yahi mashiyyat-e-parwardigar hai
kya puchhte ho dil mera lene ko ai buto
go jabr hai pe KHair tumhein iKHtiyar hai
be-wajh zalzala nahin aaya jahan mein
shayad kisi ka qabr mein dil be-qarar hai
shaq ja-ba-ja se ho gaya sang-e-sar-e-lahad
yun be-qarar aaj dil-e-be-qarar hai
kyunkar na khaun koh-o-bayaban ki Thokaren
banda-nawaz dil pe kise iKHtiyar hai
ek sang-dil lahad ka mere sang le gaya
afsos be-nishan hamara mazar hai
madfan mera bana ke raqibon se ye kaha
jo mujh pe mar gaya hai ye us ka mazar hai
manzur wasl hai to karo aaj hi qubul
duniya mein zindagi ka kise eatibar hai
nadim hun main to apne gunahon pe ai karim
ab baKHshe ya na baKHshe tujhe iKHtiyar hai
jaan-kandani mein dekh ke puchha kisi se yun
ye waqt-e-naza hai ki dam-e-ehtizar hai
aahista rakkho qabr pe ai rahrawo qadam
hai pash-pash dil to kaleja figar hai
ruKHsat ko main musir jo hua hans ke ye kaha
jate ho gar to jao tumhein iKHtiyar hai
aate hain wo kabhi jo meri qabr ki taraf
Thukra ke puchhte hain ye kis ka mazar hai
kyunkar mizaj mein na ho 'faKHir' ke inkisar
KHadim abu-turab ka hai KHaksar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.