zahiran nuqta hun ek simTa hua
zāhiran nuqta huuñ ik simTā huā
ġhaur se dekho to huuñ bikhrā huā
is qadar māyūs huuñ chehroñ se maiñ
apnā chehra bhī lage badlā huā
Dar rahā huuñ ho na jaa.e pāsh-pāsh
aadmī ab kāñch kā putlā huā
zehn meñ kuchh din se hai koī ḳhayāl
ek kāñTe kī tarah chubhtā huā
apne chehre par bharosa ho jise
aa.ine se kyoñ phire chhuptā huā
tīrgī kā ḳhauf ab tak hai muhīt
ye ujālā jaise ho māñgā huā
jaane kyoñ ye sochtā rahtā huuñ maiñ
kal ko ye sūraj agar andhā huā
sochne meñ ajnabī mere liye
dekhne meñ vo lage dekhā huā
ham to ai 'manzūr' tanhā ho ga.e
ḳhuun paanī se bhī kuchh patlā huā
zahiran nuqta hun ek simTa hua
ghaur se dekho to hun bikhra hua
is qadar mayus hun chehron se main
apna chehra bhi lage badla hua
Dar raha hun ho na jae pash-pash
aadmi ab kanch ka putla hua
zehn mein kuchh din se hai koi KHayal
ek kanTe ki tarah chubhta hua
apne chehre par bharosa ho jise
aaine se kyon phire chhupta hua
tirgi ka KHauf ab tak hai muhit
ye ujala jaise ho manga hua
jaane kyon ye sochta rahta hun main
kal ko ye suraj agar andha hua
sochne mein ajnabi mere liye
dekhne mein wo lage dekha hua
hum to ai 'manzur' tanha ho gae
KHun pani se bhi kuchh patla hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.