zahiri basarat ki aagahi be-mani hai
zāhirī basārat kī āgahī be-mā'nī hai
muztarib nigah tujh ko DhūñDhtī be-mā'nī hai
ḳhushnumā bahāroñ meñ jī mirā nahīñ lagtā
tere ruuTh jaane se zindagī be-mā'nī hai
zulm kī hukūmat hai kār-gāh-e-hastī par
raqs karnā vājib hai sar-kashī be-mā'nī hai
raftagāñ ne chhānī hai ḳhaak kū-e-jānāñ kī
zillateñ muqaddar haiñ vāpsī be-mā'nī hai
ham-ḳhayāl hoñ to phir lāzmī mohabbat kar
aire-ġhaire logoñ se dil-lagī be-mā'nī hai
un ke aane jaane se zaḳhm muskurāne se
ḳhush agar nahīñ koī 'āshiqī be-mā'nī hai
lan-tarānī sunñe kā lutf hai 'ajab 'jogī'
hāsil-e-talab meñ to bandagī be-mā'nī hai
zahiri basarat ki aagahi be-ma'ni hai
muztarib nigah tujh ko DhunDhti be-ma'ni hai
KHushnuma bahaaron mein ji mera nahin lagta
tere ruTh jaane se zindagi be-ma'ni hai
zulm ki hukumat hai kar-gah-e-hasti par
raqs karna wajib hai sar-kashi be-ma'ni hai
raftagan ne chhani hai KHak ku-e-jaanan ki
zillaten muqaddar hain wapsi be-ma'ni hai
ham-KHayal hon to phir lazmi mohabbat kar
aire-ghaire logon se dil-lagi be-ma'ni hai
un ke aane jaane se zaKHm muskurane se
KHush agar nahin koi 'ashiqi be-ma'ni hai
lan-tarani sunne ka lutf hai 'ajab 'jogi'
hasil-e-talab mein to bandagi be-ma'ni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.