zaiqe paida tabiat mein lachak karte hain
zā.iqe paidā tabī.at meñ lachak karte haiñ
aa tujhe vāqif-e-qand aur namak karte haiñ
aao chalte haiñ jahāñ sāzish-e-ahbāb na ho
dushmanī kā ye safar dostī tak karte haiñ
vo jo insān ke hī bas meñ hai us par insāñ
jaane kis muñh se shikāyāt-e-falak karte haiñ
khulne hī vaalā hai bas andhī aqīdat kā bharam
ham se kuchh log bahut chhān-phaTak karte haiñ
shirk to ḳhvāb meñ bhī ham se nahīñ ho saktā
ham to yā-rab tirī qudrat pe bhī shak karte haiñ
zaiqe paida tabiat mein lachak karte hain
aa tujhe waqif-e-qand aur namak karte hain
aao chalte hain jahan sazish-e-ahbab na ho
dushmani ka ye safar dosti tak karte hain
wo jo insan ke hi bas mein hai us par insan
jaane kis munh se shikayat-e-falak karte hain
khulne hi wala hai bas andhi aqidat ka bharam
hum se kuchh log bahut chhan-phaTak karte hain
shirk to KHwab mein bhi hum se nahin ho sakta
hum to ya-rab teri qudrat pe bhi shak karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.