zalim ko bhi phir nashsha-e-bedad-gari hai
zālim ko bhī phir nashsha-e-bedād-garī hai
phir ham haiñ vahī phir vahī āshufta-sarī hai
vo aa.e hai jab yaad to lagtā hai kuchh aisā
jaise koī chaTTān sī siine pe dharī hai
zāhid ne use dekhā jo Tuk dekh ke bolā
aadam kī hī beTī hai ki ye huur parī hai
mahfil meñ mujhe aap kahā us gul-e-tar ne
ab aap hai kis zumre kā ye dard-e-sarī hai
kyā haal huā ḳhvāhish-e-yak-dīd meñ merā
āñkhoñ meñ koī ashk bhī baaqī na tarī hai
ye satr likhī āḳhirī aur band kiiñ āñkheñ
kyā ḳhuub tirī chāragarī chāragarī hai
is tarh se miltā hai agar 'ohda-o-mansab
kyā vaq'at-e-imlāk hai kyā tāj-varī hai
zalim ko bhi phir nashsha-e-bedad-gari hai
phir hum hain wahi phir wahi aashufta-sari hai
wo aae hai jab yaad to lagta hai kuchh aisa
jaise koi chaTTan si sine pe dhari hai
zahid ne use dekha jo Tuk dekh ke bola
aadam ki hi beTi hai ki ye hur pari hai
mahfil mein mujhe aap kaha us gul-e-tar ne
ab aap hai kis zumre ka ye dard-e-sari hai
kya haal hua KHwahish-e-yak-did mein mera
aankhon mein koi ashk bhi baqi na tari hai
ye satr likhi aaKHiri aur band kin aankhen
kya KHub teri chaaragari chaaragari hai
is tarh se milta hai agar 'ohda-o-mansab
kya waq'at-e-imlak hai kya taj-wari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.