zanun pe tere ghair ka sar dekh rahe hain
zānūñ pe tire ġhair kā sar dekh rahe haiñ
fitna tirā o fitna-nazar dekh rahe haiñ
jis samt uThī aañkh udhar dekh rahe haiñ
maujūd tū hī tū hai jidhar dekh rahe haiñ
har samt tire rū-e-munavvar kī tajallī
o parda-nashīñ parda na kar dekh rahe haiñ
jab sub.h huī ham haiñ kahāñ aur kahāñ tum
ik ye bhī qayāmat kā asar dekh rahe haiñ
aa baiThegā uḌ kar mire siine pe kisī din
nikle haiñ tire tiir ko par dekh rahe haiñ
jhuñjhlā ke kahā mujh se ki uThte bhī ḳhudārā
shab jā chukī hotī hai sahar dekh rahe haiñ
duniyā meñ koī bhī nahīñ ik haal pe rahtā
lākhoñ ke ujaḌte hue ghar dekh rahe haiñ
kyoñ vaqt-e-musībat meñ tū ghabrā gayā 'sanjar'
ab dekh vo rahmat kī nazar dekh rahe haiñ
zanun pe tere ghair ka sar dekh rahe hain
fitna tera o fitna-nazar dekh rahe hain
jis samt uThi aankh udhar dekh rahe hain
maujud tu hi tu hai jidhar dekh rahe hain
har samt tere ru-e-munawwar ki tajalli
o parda-nashin parda na kar dekh rahe hain
jab subh hui hum hain kahan aur kahan tum
ek ye bhi qayamat ka asar dekh rahe hain
aa baiThega uD kar mere sine pe kisi din
nikle hain tere tir ko par dekh rahe hain
jhunjhla ke kaha mujh se ki uThte bhi KHudara
shab ja chuki hoti hai sahar dekh rahe hain
duniya mein koi bhi nahin ek haal pe rahta
lakhon ke ujaDte hue ghar dekh rahe hain
kyon waqt-e-musibat mein tu ghabra gaya 'sanjar'
ab dekh wo rahmat ki nazar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.