Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaron se Dariye phuliye zar par na zor par

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

zaron se Dariye phuliye zar par na zor par

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    zāroñ se Dariye phūliye zar par na zor par

    kiije nigāh hāl-e-sulaimān-o-mor par

    rok apne nafs-e-bad ko ki hāsil hai iḳhtiyār

    bīmār par hakīm ko hākim ko chor par

    ho aabrū baḌhānī to ye kah ab bahr ko

    miltā mulā.emat se hai kis zor-o-shor par

    ik umr se vazīfa hai sāhab ke naam

    nāḳhun ke ḳhat haiñ uñgliyoñ ke por por par

    nargis ke chashm-e-bad hai nāhaq tumheñ ḳhayāl

    ilzām bad-nigāhī tohmat hai kor par

    paañv apnā mere siine pe rakh diije ek baar

    ik laat bhī to māriye hātim gor par

    ulfat meñ dil umaDte sar tan se uḌ gayā

    sar-posh josh-e-mai se na Thahrā maThor par

    kal tak jo sham-e-mahfil-e-aish-o-nishāt the

    jaltā nahīñ charāġh hai aaj un gor par

    bulbul se ham ne laḌke kiyā sirr-e-ishq faash

    vāqif hazār the to khulā ab karor par

    hote ho baaġh meñ jo ġhazal-ḳhvāñ tum ai 'nasīm'

    ḳhanda guloñ ko aatā hai bulbul ke shor par

    zaron se Dariye phuliye zar par na zor par

    kije nigah haal-e-sulaiman-o-mor par

    rok apne nafs-e-bad ko ki hasil hai iKHtiyar

    bimar par hakim ko hakim ko chor par

    ho aabru baDhani to ye kah ab bahr ko

    milta mulaemat se hai kis zor-o-shor par

    ek umr se wazifa hai sahab ke nam ka

    naKHun ke KHat hain ungliyon ke por por par

    nargis ke chashm-e-bad ka hai nahaq tumhein KHayal

    ilzam bad-nigahi ka tohmat hai kor par

    panw apna mere sine pe rakh dije ek bar

    ek lat bhi to mariye hatim ki gor par

    ulfat mein dil umaDte hi sar tan se uD gaya

    sar-posh josh-e-mai se na Thahra maThor par

    kal tak jo sham-e-mahfil-e-aish-o-nishat the

    jalta nahin charagh hai aaj un ki gor par

    bulbul se hum ne laDke kiya sirr-e-ishq fash

    waqif hazar the to khula ab karor par

    hote ho bagh mein jo ghazal-KHwan tum ai 'nasim'

    KHanda gulon ko aata hai bulbul ke shor par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now