zati muamlat se bahar ka kuchh kaho
zaatī muāmlāt se bāhar kā kuchh kaho
tum kātib-e-hayāt se bāhar kā kuchh kaho
bezār ho ga.ī huuñ purāne ḳhitāb se
is baar kā.enāt se bāhar kā kuchh kaho
taftīsh ho rahī hai mire fan pe in dinoñ
tum log merī zaat se bāhar kā kuchh kaho
rahne do apnī pahlī mohabbat kā tazkira
yā'nī ki pul-sirāt se bāhar kā kuchh kaho
ḳhush-fahmiyoñ kī jaal se niklo zarā sī der
ab husn-e-shā’erāt se bāhar kā kuchh kaho
daur-e-jadīdiyat meñ purānā ye falsafa
aisā hai to luġhāt se bāhar kā kuchh kaho
tum bolne ke fan meñ to māhir ho 'shāziya'
lekin zarā sifāt se bāhar kā kuchh kaho
zati muamlat se bahar ka kuchh kaho
tum katib-e-hayat se bahar ka kuchh kaho
bezar ho gai hun purane KHitab se
is bar kaenat se bahar ka kuchh kaho
taftish ho rahi hai mere fan pe in dinon
tum log meri zat se bahar ka kuchh kaho
rahne do apni pahli mohabbat ka tazkira
ya'ni ki pul-siraat se bahar ka kuchh kaho
KHush-fahmiyon ki jal se niklo zara si der
ab husn-e-sha’eraat se bahar ka kuchh kaho
daur-e-jadidiyat mein purana ye falsafa
aisa hai to lughat se bahar ka kuchh kaho
tum bolne ke fan mein to mahir ho 'shaziya'
lekin zara sifat se bahar ka kuchh kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.