zawiya honTon ka wo dilkash banata kis tarah
zāviya hoñToñ kā vo dilkash banātā kis tarah
ruuh zaḳhmīda bahut thī muskurātā kis tarah
uñgliyāñ bhī quvvat-e-bīnā.ī rakhtī haiñ bahut
maiñ kisī ke jism ko ye sach batātā kis tarah
kal mire bachche bhī aa sakte haiñ ḳhushbū ke liye
shahr-e-gul meñ zahr ke kāñTe bichhātā kis tarah
fan kī daulat baḌh ga.ī to dil ke TukḌe ho ga.e
maiñ samundar ban gayā to ghar bachātā kis tarah
maiñ huuñ ik patthar magar dast-e-hunar meñ rah gayā
shīsh-mahloñ kī hai qismat kyā batātā kis tarah
zawiya honTon ka wo dilkash banata kis tarah
ruh zaKHmida bahut thi muskuraata kis tarah
ungliyan bhi quwwat-e-binai rakhti hain bahut
main kisi ke jism ko ye sach batata kis tarah
kal mere bachche bhi aa sakte hain KHushbu ke liye
shahr-e-gul mein zahr ke kanTe bichhata kis tarah
fan ki daulat baDh gai to dil ke TukDe ho gae
main samundar ban gaya to ghar bachata kis tarah
main hun ek patthar magar dast-e-hunar mein rah gaya
shish-mahlon ki hai qismat kya batata kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.