zawiya koi nahin hum ko milane wala
zāviya koī nahīñ ham ko milāne vaalā
vahshat-ābād kā maiñ tū hai zamāne vaalā
phir vo tanhā.ī sā bartāv purāne vaalā
phir koī rūThne vaalā na manāne vaalā
dar pe ta.a.īnāt rahī yuuñ to samā.at merī
lekin aayā hī nahīñ koī bulāne vaalā
kyā pata ḳhvāb meñ us ne mujhe dekhā ki nahīñ
chain se soyā rahā mujh ko jagāne vaalā
raat bhar gūñjī hai ākāsh meñ birhā kī tarañg
raat bhar soyā nahīñ bhairavī gaane vaalā
bas isī kaam meñ mashġhūl hai sote-jagte
kaise bhūlegā bhalā mujh ko bhulāne vaalā
zawiya koi nahin hum ko milane wala
wahshat-abaad ka main tu hai zamane wala
phir wo tanhai sa bartaw purane wala
phir koi ruThne wala na manane wala
dar pe tainat rahi yun to samaat meri
lekin aaya hi nahin koi bulane wala
kya pata KHwab mein us ne mujhe dekha ki nahin
chain se soya raha mujh ko jagane wala
raat bhar gunji hai aakash mein birha ki tarang
raat bhar soya nahin bhairawi gane wala
bas isi kaam mein mashghul hai sote-jagte
kaise bhulega bhala mujh ko bhulane wala
- Book : Namak (Pg. 75)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.