zaban-e-nutq mein paida agar husn-e-bayan kar lun
zabān-e-nutq meñ paidā agar husn-e-bayāñ kar luuñ
chaman ke zarra-zarra ko maiñ apnā ham-zabāñ kar luuñ
bahut mumkin hai paidā ishq meñ dushvāriyāñ kar luuñ
magar dil ko kisī sūrat shanāsā-e-fuġhāñ kar luuñ
nigāh-e-iltifāt us kī agar vus.at-badāmāñ ho
zamāne bhar ke armānoñ ko dil meñ mehmāñ kar luuñ
maiñ vo īzā-talab huuñ bar-sar-e-manzil bhaTak jā.ūñ
rah-e-āsāñ meñ paidā jaan kar dushvāriyāñ kar luuñ
asīr-e-nau huuñ maiñ vāqif nahīñ ādāb-e-zindāñ se
ki kab naala karūñ aur band kab apnī zabāñ kar luuñ
maze soz-e-mohabbat ke koī dil se mire pūchhe
jo qaabū ho to saarī hasratoñ ko bijliyāñ kar luuñ
dikhā dūñgā kahāñ jhukte haiñ sar saarī ḳhudā.ī ke
magar pahle maiñ tere āstāñ ko āstāñ kar luuñ
maiñ ḳhud vāqif nahīñ ab tak 'munīr' is rāz-e-ulfat se
chhupā.ūñ rāz-e-dil kis se maiñ kis ko rāzdāñ kar luuñ
zaban-e-nutq mein paida agar husn-e-bayan kar lun
chaman ke zarra-zarra ko main apna ham-zaban kar lun
bahut mumkin hai paida ishq mein dushwariyan kar lun
magar dil ko kisi surat shanasa-e-fughan kar lun
nigah-e-iltifat us ki agar wusat-badaman ho
zamane bhar ke armanon ko dil mein mehman kar lun
main wo iza-talab hun bar-sar-e-manzil bhaTak jaun
rah-e-asan mein paida jaan kar dushwariyan kar lun
asir-e-nau hun main waqif nahin aadab-e-zindan se
ki kab nala karun aur band kab apni zaban kar lun
maze soz-e-mohabbat ke koi dil se mere puchhe
jo qabu ho to sari hasraton ko bijliyan kar lun
dikha dunga kahan jhukte hain sar sari KHudai ke
magar pahle main tere aastan ko aastan kar lun
main KHud waqif nahin ab tak 'munir' is raaz-e-ulfat se
chhupaun raaz-e-dil kis se main kis ko raazdan kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.