zaban jab dil jalati hai main us se Khaar khata hun
zaban jab dil jalati hai main us se Khaar khata hun
Yousuf Bin Mohammad
MORE BYYousuf Bin Mohammad
zabāñ jab dil jalātī hai maiñ us se ḳhaar khātā huuñ
vo aksar jiit jaatī hai maiñ aksar haar jaatā huuñ
agar chāhūñ gul-o-bulbul ke jazbe khīñch kar rakh duuñ
magar apnī kamā.ī kā gadā sach hī dikhātā huuñ
zabāñ kī maar khaa.ī hai jo maiñ ne yaaro mādar kī
shikasta ho ki in TukḌoñ ko ab tum par luTātā huuñ
adīboñ ne mujhe jhāḌā to pheñkā go huuñ vo kiiḌā
ki un kī kul kitāboñ ko maiñ yuuñ hī chaaT khātā huuñ
salāḳheñ aur zanjīreñ haiñ kyā bejā mazālim kyā
zabāñ kī do salāḳhoñ meñ maiñ ḳhud ko qaid paatā huuñ
koī dīmak lagī lakḌī sī kuchh yādeñ sambhālī thiiñ
vo merā tan galātī thiiñ so ḳhud un ko galātā huuñ
agar merī tashaffī ko do bāteñ yaar kī kar do
zabāñ kī hī 'ināyat hai ki ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
mire sūkhe samundar ne jo kuchh naqshe se khīñche the
jinheñ lahreñ miTātī thiiñ kabhī ab maiñ miTātā huuñ
mirī hassās tabī'at ko to kyā samjheñge maiñ ḳhud ko
kabhī ashkoñ se muñh dho kar kabhī hañs ke chhupātā huuñ
jo kūḌā-dān ko shāyāñ hai vo merī adībī hai
ye pannī chaḌ-chḌātī hai maiñ jab sham.a baḌhātā huuñ
kabhī samjhā thā shā'ir huuñ gadā likhtā thā maiñ ḳhud ko
jo majnūñ ban phirā ban meñ vo ban se lauT aatā huuñ
zaban jab dil jalati hai main us se KHar khata hun
wo aksar jit jati hai main aksar haar jata hun
agar chahun gul-o-bulbul ke jazbe khinch kar rakh dun
magar apni kamai ka gada sach hi dikhata hun
zaban ki mar khai hai jo main ne yaro madar ki
shikasta ho ki in TukDon ko ab tum par luTata hun
adibon ne mujhe jhaDa to phenka go hun wo kiDa
ki un ki kul kitabon ko main yun hi chaT khata hun
salaKHen aur zanjiren hain kya beja mazalim kya
zaban ki do salaKHon mein main KHud ko qaid pata hun
koi dimak lagi lakDi si kuchh yaaden sambhaali thin
wo mera tan galati thin so KHud un ko galata hun
agar meri tashaffi ko do baaten yar ki kar do
zaban ki hi 'inayat hai ki KHud ko bhul jata hun
mere sukhe samundar ne jo kuchh naqshe se khinche the
jinhen lahren miTati thin kabhi ab main miTata hun
meri hassas tabi'at ko to kya samjhenge main KHud ko
kabhi ashkon se munh dho kar kabhi hans ke chhupata hun
jo kuDa-dan ko shayan hai wo meri adibi hai
ye panni chaD-chDati hai main jab shama baDhata hun
kabhi samjha tha sha'ir hun gada likhta tha main KHud ko
jo majnun ban phira ban mein wo ban se lauT aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.