zaban junun ko milegi to lab-kusha honge
zabāñ junūñ ko milegī to lab-kushā hoñge
bahār aa.ī to ham bhī ġhazal-sarā hoñge
na dard meñ koī lazzat na zulm kā ehsās
ab is se baḌh ke sitam aur dil pe kyā hoñge
badaltī rut ke bhī tevar vahī haiñ ham-safaro
vahī jahāñ vahī bande vahī ḳhudā hoñge
ye aur baat mudāvā na ho sake ġham kā
magar jafāoñ ke charche to barmalā hoñge
ravāñ davāñ haiñ azal se vafā ke shaidā.ī
ġhubār ban ke uḌeñge to rūnumā hoñge
kiran kiran sahī utregī bām-o-dar pe sahar
bujhe diyoñ se na ham tālib-e-ziyā hoñge
'kalīm' jin ko tarāshā thā apne hāthoñ se
kise ḳhabar thī vo but hī mire ḳhudā hoñge
zaban junun ko milegi to lab-kusha honge
bahaar aai to hum bhi ghazal-sara honge
na dard mein koi lazzat na zulm ka ehsas
ab is se baDh ke sitam aur dil pe kya honge
badalti rut ke bhi tewar wahi hain ham-safaro
wahi jahan wahi bande wahi KHuda honge
ye aur baat mudawa na ho sake gham ka
magar jafaon ke charche to barmala honge
rawan dawan hain azal se wafa ke shaidai
ghubar ban ke uDenge to runuma honge
kiran kiran sahi utregi baam-o-dar pe sahar
bujhe diyon se na hum talib-e-ziya honge
'kalim' jin ko tarasha tha apne hathon se
kise KHabar thi wo but hi mere KHuda honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.