zaban ka qarz utarne nahin diya maine
zabāñ kā qarz utarne nahīñ diyā maiñ ne
har ek zaḳhm ko nāsūr kar liyā maiñ ne
ye soch kar ki koī āsmān manzil hai
junūñ meñ apnā nasheman jalā diyā maiñ ne
vo jis kī shakl bhī āñkhoñ ko nāgavār huī
usī ke tanz ko dil meñ basā liyā maiñ ne
hasad kī ek tavā.if suhā.ī āñkhoñ ko
vafā se is liye dāman chhuḌā liyā maiñ ne
badan ke peḌ the āñkhoñ kī kashtiyāñ thiiñ jahāñ
vahāñ pe ek bhī lamha nahīñ jiyā maiñ ne
kahīñ diloñ meñ añdhere the rāstoñ meñ kahīñ
safar tamām siyāhī meñ tai kiyā maiñ ne
zaban ka qarz utarne nahin diya main ne
har ek zaKHm ko nasur kar liya main ne
ye soch kar ki koi aasman manzil hai
junun mein apna nasheman jala diya main ne
wo jis ki shakl bhi aankhon ko nagawar hui
usi ke tanz ko dil mein basa liya main ne
hasad ki ek tawaif suhai aankhon ko
wafa se is liye daman chhuDa liya main ne
badan ke peD the aankhon ki kashtiyan thin jahan
wahan pe ek bhi lamha nahin jiya main ne
kahin dilon mein andhere the raston mein kahin
safar tamam siyahi mein tai kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.