zaban khol sawal-o-jawab kar ke dikha
zabān khol savāl-o-javāb kar ke dikhā
agar tū gūñgā nahīñ hai ḳhitāb kar ke dikhā
mizāj pūchh charāġhoñ kā aa ke dhartī par
ye kaam bhī to kabhī āftāb kar ke dikhā
na.e jahānoñ kī be-kār kar rahā hai talāsh
isī zamīn pe paidā gulāb kar ke dikhā
adhūre qissoñ kī ahl-e-nazar na deñge daad
unheñ tū dil kī mukammal kitāb kar ke dikhā
sunā hai sab ke tū dukh kā ilaaj kartā hai
hamāre dil se alag iztirāb kar ke dikhā
ye kaun kahtā hai zāhir tū aib kar ke dikhā
haqīqatoñ ko magar be-naqāb kar ke dikhā
safar hayāt kā ab itnā bhī nahīñ dushvār
tamāshā mujh ko na.e ham-rikāb kar ke dikhā
'kamāl' jiine se bezār log ho jaa.eñ
na zindagī ko tū itnā ḳharāb kar ke dikhā
zaban khol sawal-o-jawab kar ke dikha
agar tu gunga nahin hai KHitab kar ke dikha
mizaj puchh charaghon ka aa ke dharti par
ye kaam bhi to kabhi aaftab kar ke dikha
nae jahanon ki be-kar kar raha hai talash
isi zamin pe paida gulab kar ke dikha
adhure qisson ki ahl-e-nazar na denge dad
unhen tu dil ki mukammal kitab kar ke dikha
suna hai sab ke tu dukh ka ilaj karta hai
hamare dil se alag iztirab kar ke dikha
ye kaun kahta hai zahir tu aib kar ke dikha
haqiqaton ko magar be-naqab kar ke dikha
safar hayat ka ab itna bhi nahin dushwar
tamasha mujh ko nae ham-rikab kar ke dikha
'kamal' jine se bezar log ho jaen
na zindagi ko tu itna KHarab kar ke dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.