zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai
zabāñ kuchh aur kahtī hai nazar kuchh aur kahtī hai
magar ye zindagī kī rah-guzar kuchh aur kahtī hai
bayāñ ye bāġhbāñ kā hai ujāḌā baaġh āñdhī ne
magar kaaTī huī shāḳh-e-shajar kuchh aur kahtī hai
ye ujḌā jism zaḳhmī ruuh aur sahmī huī laḌkī
zamāna maar Dālegā agar kuchh aur kahtī hai
dabāv thā ki lālach thā lagā aḳhbār ye paḌh kar
haqīqat aur hī kuchh thī ḳhabar kuchh aur kahtī hai
nishānī chhoḌ jaatī haiñ 'asad' ye 'umr kī rāheñ
musāfir kuchh kahe gard-e-safar kuchh aur kahtī hai
zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai
magar ye zindagi ki rah-guzar kuchh aur kahti hai
bayan ye baghban ka hai ujaDa bagh aandhi ne
magar kaTi hui shaKH-e-shajar kuchh aur kahti hai
ye ujDa jism zaKHmi ruh aur sahmi hui laDki
zamana mar Dalega agar kuchh aur kahti hai
dabaw tha ki lalach tha laga aKHbar ye paDh kar
haqiqat aur hi kuchh thi KHabar kuchh aur kahti hai
nishani chhoD jati hain 'asad' ye 'umr ki rahen
musafir kuchh kahe gard-e-safar kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.