zaban mile to hazar baaten kaha karen hum
zabāñ mile to hazār bāteñ kahā kareñ ham
sadā kā rishta hī TuuT jaa.e to kyā kareñ ham
ye shahr-e-shīsha to shahr-e-nā-āshnā hai pyāre
kise pukāreñ yahāñ kise āshnā kareñ ham
agar ḳhudā tak pahuñch sake harf-e-nā-rasā.ī
to arsh tak bhī buland dast-e-duā kareñ ham
yahāñ masīhā ke kaam hī jab duā na aa.ī
duā kareñ ab to kis kī ḳhātir duā kareñ ham
ab un ke hāthoñ kafan kā ehsāñ bhī kyoñ uThā.eñ
shahādatoñ ke lahū se rangīñ qabā kareñ ham
koī kisī ko na de sake tān-e-nā-rasā.ī
jo qarz-e-jāñ hai vo mar ke va.ada vafā kareñ ham
ham apnā qātil ḳhud apne hī aa.ine meñ dekheñ
agar kabhī apnī zaat kā sāmnā kareñ ham
mahak uThe karbalā se apne vatan tak aa.e
kuchh aise zinda vo qissa-e-karbalā kareñ ham
vo jis kī ḳhushbū abad abad tak rahe salāmat
ik aisā naama raqam safīr-e-sabā kareñ ham
vo jis adā se urūs-e-fardā ko tū ne chūmā
nisār us par har ik adā ḳhush-adā kareñ ham
'jamīl' sab se azīm-tar is sadī kā ġham hai
sabhī ko ab is ke ishq meñ mubtalā kareñ ham
zaban mile to hazar baaten kaha karen hum
sada ka rishta hi TuT jae to kya karen hum
ye shahr-e-shisha to shahr-e-na-ashna hai pyare
kise pukaren yahan kise aashna karen hum
agar KHuda tak pahunch sake harf-e-na-rasai
to arsh tak bhi buland dast-e-dua karen hum
yahan masiha ke kaam hi jab dua na aai
dua karen ab to kis ki KHatir dua karen hum
ab un ke hathon kafan ka ehsan bhi kyon uThaen
shahadaton ke lahu se rangin qaba karen hum
koi kisi ko na de sake tan-e-na-rasai
jo qarz-e-jaan hai wo mar ke wada wafa karen hum
hum apna qatil KHud apne hi aaine mein dekhen
agar kabhi apni zat ka samna karen hum
mahak uThe karbala se apne watan tak aae
kuchh aise zinda wo qissa-e-karbala karen hum
wo jis ki KHushbu abad abad tak rahe salamat
ek aisa nama raqam safir-e-saba karen hum
wo jis ada se urus-e-farda ko tu ne chuma
nisar us par har ek ada KHush-ada karen hum
'jamil' sab se azim-tar is sadi ka gham hai
sabhi ko ab is ke ishq mein mubtala karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.