zaban par asl mein kab dard-o-gham ki dastan aai
zaban par asl mein kab dard-o-gham ki dastan aai
Nakhshab Jaarchawi
MORE BYNakhshab Jaarchawi
zabāñ par asl meñ kab dard-o-ġham kī dāstāñ aa.ī
ḳhayāl-e-shikva aate hī mohabbat darmiyāñ aa.ī
niyāz-e-ishq nāz-e-husn hī kā ek partav hai
tumheñ ye raaz samjhāne kī naubat hī kahāñ aa.ī
jise ehsās tak hotā nahīñ vīrāni-e-dil kā
vo chashm-e-ḳhud-numā merī kahāñ se rāzdāñ aa.ī
huzūr-e-dost koī shikva-e-bejā to kyā ma.anī
hadīs-e-shukr ban kar aa.ī jab lab tak fuġhāñ aa.ī
ye maanā husn-o-ulfat lāzim-o-malzūm haiñ donoñ
magar ab tak samajh meñ kuchh na vajah-e-imtihāñ aa.ī
bahut thā naaz ham ko ehtimām-e-dīda-o-dil par
nigāh-e-fitna-zā parde se bāhar nā-gahāñ aa.ī
vafā rāh-e-haqīqat hai magar ab is ko kyā kahiye
qadam aage baḌhāte haiñ had-e-vahm-o-gumāñ aa.ī
jise tanhā dil-e-majbūr bhī mahsūs kartā hai
kuchh aisī guftugū bhī mere un ke darmiyāñ aa.ī
ḳhayāl-e-tark-e-ulfat dil meñ aane hī ko thā 'naḳhshab'
salām-e-āḳhirī karne hayāt-e-jāvidāñ aa.ī
zaban par asl mein kab dard-o-gham ki dastan aai
KHayal-e-shikwa aate hi mohabbat darmiyan aai
niyaz-e-ishq naz-e-husn hi ka ek partaw hai
tumhein ye raaz samjhane ki naubat hi kahan aai
jise ehsas tak hota nahin virani-e-dil ka
wo chashm-e-KHud-numa meri kahan se raazdan aai
huzur-e-dost koi shikwa-e-beja to kya mani
hadis-e-shukr ban kar aai jab lab tak fughan aai
ye mana husn-o-ulfat lazim-o-malzum hain donon
magar ab tak samajh mein kuchh na wajah-e-imtihan aai
bahut tha naz hum ko ehtimam-e-dida-o-dil par
nigah-e-fitna-za parde se bahar na-gahan aai
wafa rah-e-haqiqat hai magar ab is ko kya kahiye
qadam aage baDhate hain had-e-wahm-o-guman aai
jise tanha dil-e-majbur bhi mahsus karta hai
kuchh aisi guftugu bhi mere un ke darmiyan aai
KHayal-e-tark-e-ulfat dil mein aane hi ko tha 'naKHshab'
salam-e-aKHiri karne hayat-e-jawidan aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.