zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki
zabān par sabhī kī baat hai faqat savār kī
kabhī to baat bhī ho pālkī liye kahār kī
guloñ ko titliyoñ ko kis tarah karegā yaad vo
ki jis ko fikr rāt-din lagī ho rozgār kī
bigaḌ ke jis ne pā liyā tamām lutf-e-zindagī
nahīñ sunegā phir vo baat koī bhī sudhār kī
vo ḳhush rahe ye soch kar sadā maiñ hārtā gayā
kisī ke saath jab laḌī laḌā.ī ār-pār kī
jise bhī dekhiye use vo toḌ kar hī hai baḌhā
kahāñ rahīñ haiñ desh meñ zarūrateñ qatār kī
tujhe paḌhā hamesha maiñ ne apnī band āñkhoñ se
ye dāstān hai nazar pe raushnī ke vaar kī
chaḌhe jo is qadar ki phir kabhī utar nahīñ sake
talāsh zindagī meñ hai mujhe usī ḳhumār kī
zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki
kabhi to baat bhi ho palki liye kahaar ki
gulon ko titliyon ko kis tarah karega yaad wo
ki jis ko fikr raat-din lagi ho rozgar ki
bigaD ke jis ne pa liya tamam lutf-e-zindagi
nahin sunega phir wo baat koi bhi sudhaar ki
wo KHush rahe ye soch kar sada main haarta gaya
kisi ke sath jab laDi laDai aar-par ki
jise bhi dekhiye use wo toD kar hi hai baDha
kahan rahin hain desh mein zaruraten qatar ki
tujhe paDha hamesha main ne apni band aankhon se
ye dastan hai nazar pe raushni ke war ki
chaDhe jo is qadar ki phir kabhi utar nahin sake
talash zindagi mein hai mujhe usi KHumar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.