zaban par shikwa-e-paiham nahin hai
zabāñ par shikva-e-paiham nahīñ hai
sar-e-taslīm apnā ḳham nahīñ hai
ye har mausam meñ phaltī phūltī hai
mohabbat kā koī mausam nahīñ hai
manā.eñ ḳhair apnī jaan kī sab
ki mahfil meñ vo atom-bam nahīñ hai
zamīñ par haiñ sabhī aadam ke beTe
yahāñ koī kisī se kam nahīñ hai
zamīñ par bhaag kar jaa.eñ kahāñ ham
kahāñ batlāo atom-bam nahīñ hai
hai ghar meñ radio aur television
hameñ kyā ġham ki jām-e-jam nahīñ hai
ḳhudā ko hai talāsh-e-qaum-e-dīgar
musalmānoñ meñ vo dam-ḳham nahīñ hai
masīhā ko bulā kar kyā kareñge
hamāre zaḳhm kā marham nahīñ hai
sunāyā qissa-e-ġham tū ne 'maz.har'
kisī kī aañkh lekin nam nahīñ hai
zaban par shikwa-e-paiham nahin hai
sar-e-taslim apna KHam nahin hai
ye har mausam mein phalti phulti hai
mohabbat ka koi mausam nahin hai
manaen KHair apni jaan ki sab
ki mahfil mein wo atom-bam nahin hai
zamin par hain sabhi aadam ke beTe
yahan koi kisi se kam nahin hai
zamin par bhag kar jaen kahan hum
kahan batlao atom-bam nahin hai
hai ghar mein radio aur telewision
hamein kya gham ki jam-e-jam nahin hai
KHuda ko hai talash-e-qaum-e-digar
musalmanon mein wo dam-KHam nahin hai
masiha ko bula kar kya karenge
hamare zaKHm ka marham nahin hai
sunaya qissa-e-gham tu ne 'mazhar'
kisi ki aankh lekin nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.