zaban pe lafz hai mera zaban hai uski
zabāñ pe lafz hai merā zabān hai us kī
har ek tiir hai merā kamān hai us kī
udhār maañg ke laayā huuñ chāhe jab le le
bahut sañbhāl ke rakkhā hai jaan hai us kī
usī ke dam se hai qaa.em mirī anā kā bharam
hai merī aan salāmat ye shaan hai us kī
bahut qadīm hai lekin jadīd hai phir bhī
ba-qaid-e-umr ye duniyā javān hai us kī
har ek shaam hai us kī malāmatoñ kī amiiñ
har ek sub.h sabāhat-nishān hai us kī
zamīñ kā farsh hai us kā ki ḳhvān-e-ne.amat hai
ḳhudā.ī jis ke liye mehmān hai us kī
zaban pe lafz hai mera zaban hai us ki
har ek tir hai mera kaman hai us ki
udhaar mang ke laya hun chahe jab le le
bahut sanbhaal ke rakkha hai jaan hai us ki
usi ke dam se hai qaem meri ana ka bharam
hai meri aan salamat ye shan hai us ki
bahut qadim hai lekin jadid hai phir bhi
ba-qaid-e-umr ye duniya jawan hai us ki
har ek sham hai us ki malamaton ki amin
har ek subh sabahat-nishan hai us ki
zamin ka farsh hai us ka ki KHwan-e-neamat hai
KHudai jis ke liye mehman hai us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.