zaban se kar ke izhaar-e-haqiqat aafrin maine
zabāñ se kar ke iz.hār-e-haqīqat āfrīñ maiñ ne
zamāne bhar ko apnā kar liyā hai nukta-chīñ maiñ ne
junūñ hai be-ḳhudī hai bekalī hai be-qarārī hai
mohabbat kī hai yā pī lī sharāb-e-ātishīñ maiñ ne
ye aalam kaun sā aalam hai duurī yā huzūrī hai
usī ko rū-ba-rū paayā jab āñkheñ band kiiñ maiñ ne
dam-e-nazzāra dekhe koī nazroñ kā mirī aalam
use yuuñ dekhtā huuñ jaise dekhā hī nahīñ maiñ ne
are o sāmne aa kar nigāheñ pherne vaale
tirī ḳhātir zamāne se nigāheñ pher liiñ maiñ ne
guzar kar be-niyāzāna ġhurūr-e-husn ko āḳhir
rumūz-e-be-niyāzī se kiyā zer-e-nagīñ maiñ ne
ḳhudā mahfūz rakkhe dostoñ se bhī ki dekhe haiñ
libās-e-dostī meñ kitne mār-e-āstīñ maiñ ne
mohabbat zindagī hai 'bazm' lekin log kahte haiñ
ki jām-e-zahr ko samjhā hai jām-e-angabīñ maiñ ne
zaban se kar ke izhaar-e-haqiqat aafrin main ne
zamane bhar ko apna kar liya hai nukta-chin main ne
junun hai be-KHudi hai bekali hai be-qarari hai
mohabbat ki hai ya pi li sharab-e-atishin main ne
ye aalam kaun sa aalam hai duri ya huzuri hai
usi ko ru-ba-ru paya jab aankhen band kin main ne
dam-e-nazzara dekhe koi nazron ka meri aalam
use yun dekhta hun jaise dekha hi nahin main ne
are o samne aa kar nigahen pherne wale
teri KHatir zamane se nigahen pher lin main ne
guzar kar be-niyazana ghurur-e-husn ko aaKHir
rumuz-e-be-niyazi se kiya zer-e-nagin main ne
KHuda mahfuz rakkhe doston se bhi ki dekhe hain
libas-e-dosti mein kitne mar-e-astin main ne
mohabbat zindagi hai 'bazm' lekin log kahte hain
ki jam-e-zahr ko samjha hai jam-e-angabin main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.