zaban se kuchh na kaha an-kahi ne sath diya
zabāñ se kuchh na kahā an-kahī ne saath diyā
kalī se milte hue bekalī ne saath diyā
ye baat sunte hī aañsū nikal paḌe the mire
mileñge phir se agar zindagī ne saath diyā
udaas shaam akele maiñ jheltā kaise
tumhārī yaad thī aur bāñsurī ne saath diyā
guzarnā jaan se āsān to nahīñ thā magar
bhalā ho yaar jo is be-dilī ne saath diyā
safar to ḳhair safar thā guzar hī jaanā thā
jo tum na aa.e to ik ajnabī ne saath diyā
vo mujh ko chhoḌ ke jaatā to mar na jaatā maiñ
chalā gayā hai magar phir usī ne saath diyā
tumheñ ye kis ne kahā hai diyā diye se jale
maiñ jal rahā thā to merā kisī ne saath diyā
maiñ nasl-e-tīrgī ke vaar sah rahā thā bahut
phir ik charāġh janī raushnī ne saath diyā
zaban se kuchh na kaha an-kahi ne sath diya
kali se milte hue bekali ne sath diya
ye baat sunte hi aansu nikal paDe the mere
milenge phir se agar zindagi ne sath diya
udas sham akele main jhelta kaise
tumhaari yaad thi aur bansuri ne sath diya
guzarna jaan se aasan to nahin tha magar
bhala ho yar jo is be-dili ne sath diya
safar to KHair safar tha guzar hi jaana tha
jo tum na aae to ek ajnabi ne sath diya
wo mujh ko chhoD ke jata to mar na jata main
chala gaya hai magar phir usi ne sath diya
tumhein ye kis ne kaha hai diya diye se jale
main jal raha tha to mera kisi ne sath diya
main nasl-e-tirgi ke war sah raha tha bahut
phir ek charagh jani raushni ne sath diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.