zaban se meri nam un ka nikal jata to kya hota
zabāñ se merī naam un kā nikal jaatā to kyā hotā
guloñ kā dil ḳhizāoñ se bahal jaatā to kyā hotā
mirā dil sochtā rahtā hai tanhā.ī meñ ye aksar
ki ye sāñsoñ kī garmī se pighal jaatā to kyā hotā
kaḌaktī bijliyoñ kā ek din ehsān lenā thā
nasheman barq se pahle hī jal jaatā to kyā hotā
vo mahtābī ujāloñ ko liye phirte haiñ saath apne
añdherī raat meñ sūraj nikal jaatā to kyā hotā
mire ḳhūn-e-jigar se tū ne sāġhar bhar diye saaqī
agar us aag se māhaul jal jaatā to kyā hotā
hazāroñ zaḳhm hañste hañste tere sah liye maiñ ne
tirī āġhosh meñ ik zaḳhm pal jaatā to kyā hotā
bahār aane ko hai patjhaḌ kā mausam duur hai yaaro
ḳhudā kā ḳhauf bhī dil se nikal jaatā to kyā hotā
haram meñ dekh kar ḳhush haiñ 'shafaq' ahbāb sab mere
agar dahlīz par hī dam nikal jaatā to kyā hotā
zaban se meri nam un ka nikal jata to kya hota
gulon ka dil KHizaon se bahal jata to kya hota
mera dil sochta rahta hai tanhai mein ye aksar
ki ye sanson ki garmi se pighal jata to kya hota
kaDakti bijliyon ka ek din ehsan lena tha
nasheman barq se pahle hi jal jata to kya hota
wo mahtabi ujalon ko liye phirte hain sath apne
andheri raat mein suraj nikal jata to kya hota
mere KHun-e-jigar se tu ne saghar bhar diye saqi
agar us aag se mahaul jal jata to kya hota
hazaron zaKHm hanste hanste tere sah liye main ne
teri aaghosh mein ek zaKHm pal jata to kya hota
bahaar aane ko hai patjhaD ka mausam dur hai yaro
KHuda ka KHauf bhi dil se nikal jata to kya hota
haram mein dekh kar KHush hain 'shafaq' ahbab sab mere
agar dahliz par hi dam nikal jata to kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.