zabt do roz bhi un se na hua mere baad
zabt do roz bhī un se na huā mere baad
maiñ jo kahtī thī vahī ho ke rahā mere baad
achchhā khaao to qasam sar pe mere rakh kar haath
mere bachchoñ se karoge na daġhā mere baad
jo mire vāste chauthī kā banā thā joḌā
vahī joḌā mirī sautan ko chaḌhā mere baad
merī hī sej pe sautan ko sulāyā hai hai
kaisā khul khelā muā chiknā ghaḌā mere baad
rañDiyāñ aa.iiñ huā naach chale jaam pe jaam
maiñ to maike meñ thī kyā kyā na huā mere baad
zabt do roz bhi un se na hua mere baad
main jo kahti thi wahi ho ke raha mere baad
achchha khao to qasam sar pe mere rakh kar hath
mere bachchon se karoge na dagha mere baad
jo mere waste chauthi ka bana tha joDa
wahi joDa meri sautan ko chaDha mere baad
meri hi sej pe sautan ko sulaya hai hai
kaisa khul khela mua chikna ghaDa mere baad
ranDiyan aain hua nach chale jam pe jam
main to maike mein thi kya kya na hua mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.