zabt-e-alam hai ab dil ko gawara ai dost
zabt-e-alam hai ab dil ko gawara ai dost
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
zabt-e-ālām hai ab dil ko gavārā ai dost
ik tū hī kyā hai tirā ġham bhī hai pyārā ai dost
tū asīr-e-ġham-e-dushman hai to kyā ġham mujh ko
mujh ko kaafī hai tire ġham kā sahārā ai dost
kaise tūfān-e-balā-ḳhez kī zad se niklūñ
naav mañjdhār meñ aur duur kinārā ai dost
hai mirī fitrat-e-ḳhāmosh mire dil kī rafīq
ab nahīñ nāla-o-fariyād kā yaarā ai dost
yād-e-ayyām ki thī hasrat-e-dīdār mujhe
jaane kyoñ ab hai tirā hijr gavārā ai dost
vo bhī din the ki chamaktā thā misāl-e-ḳhurshīd
maañd hai ab mirī qismat kā sitārā ai dost
ġhair ko tū ne atā kī ḳhalish-e-tīr-e-nigāh
aur mujh ko faqat abrū kā ishārā ai dost
haa.e vo din ki huī tujh se mulāqāt nasīb
vaa.e ye din ki huuñ mahrūm-e-nazārā ai dost
zabt-e-alam hai ab dil ko gawara ai dost
ek tu hi kya hai tera gham bhi hai pyara ai dost
tu asir-e-gham-e-dushman hai to kya gham mujh ko
mujh ko kafi hai tere gham ka sahaara ai dost
kaise tufan-e-bala-KHez ki zad se niklun
naw manjdhaar mein aur dur kinara ai dost
hai meri fitrat-e-KHamosh mere dil ki rafiq
ab nahin nala-o-fariyaad ka yara ai dost
yaad-e-ayyam ki thi hasrat-e-didar mujhe
jaane kyon ab hai tera hijr gawara ai dost
wo bhi din the ki chamakta tha misal-e-KHurshid
mand hai ab meri qismat ka sitara ai dost
ghair ko tu ne ata ki KHalish-e-tir-e-nigah
aur mujh ko faqat abru ka ishaara ai dost
hae wo din ki hui tujh se mulaqat nasib
wae ye din ki hun mahrum-e-nazara ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.