zabt-e-alam ne dard ko darman bana diya
zabt-e-alam ne dard ko darmāñ banā diyā
mushkil thī zindagī magar āsāñ banā diyā
siine ko manzil-e-ġham-e-jānāñ banā diyā
yuuñ maut ko hayāt kā sāmāñ banā diyā
duniyā-e-ishq shoḳhī-e-fitrat kī daad de
har ik nigāh-e-husn ko paikāñ banā diyā
ai josh-e-girya-e-ġham-e-jānāñ tire nisār
aañsū ke ek qatre ko tūfāñ banā diyā
ik nūr-baḳhsh mahfil-e-jāñ ke firāq ne
dil ko jalā ke sham-e-shabistāñ banā diyā
qurbān aap kī nigah-e-dil-navāz ke
hairāñ banā diyā mujhe hairāñ banā diyā
rag rag meñ iztirāb-e-mohabbat hai maujzan
ehsās-e-dil ne qatre ko tūfāñ banā diyā
allah re jazb-e-husn kī kaif-āfrīniyāñ
har aa.ine ko shauq meñ hairāñ banā diyā
'kaukab' tumhāre nuur se vo raushnī baḌhī
har zarra-e-ḳhayāl ko tābāñ banā diyā
zabt-e-alam ne dard ko darman bana diya
mushkil thi zindagi magar aasan bana diya
sine ko manzil-e-gham-e-jaanan bana diya
yun maut ko hayat ka saman bana diya
duniya-e-ishq shoKHi-e-fitrat ki dad de
har ek nigah-e-husn ko paikan bana diya
ai josh-e-girya-e-gham-e-jaanan tere nisar
aansu ke ek qatre ko tufan bana diya
ek nur-baKHsh mahfil-e-jaan ke firaq ne
dil ko jala ke sham-e-shabistan bana diya
qurban aap ki nigah-e-dil-nawaz ke
hairan bana diya mujhe hairan bana diya
rag rag mein iztirab-e-mohabbat hai maujzan
ehsas-e-dil ne qatre ko tufan bana diya
allah re jazb-e-husn ki kaif-afriniyan
har aaine ko shauq mein hairan bana diya
'kaukab' tumhaare nur se wo raushni baDhi
har zarra-e-KHayal ko taban bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.