Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt-e-alam se dil hai pareshan is dil ko samjhae kaun

Syed Manzar Hasan Desnavi

zabt-e-alam se dil hai pareshan is dil ko samjhae kaun

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    zabt-e-alam se dil hai pareshāñ is dil ko samjhā.e kaun

    āñkhoñ se aañsū girte haiñ ḳhuuñ in ko rulvā.e kaun

    chaak hai dāman chāk-garebāñ aql-o-ḳhirad sab chhoḌ ga.e

    mausam-e-gul ke hangāme āḳhir yaad dilā.e kaun

    un sabāt hai kitne din pūchh lo kar phūloñ se

    ḳhanda-e-gul jashn-e-bahārāñ un se dhokā khaa.e kaun

    mahfil-e-mai hai tishna-labī hai pās-e-adab to lāzim hai

    maanā ki izn-e-ām hai saaqī baḌh ke jaam uThā.e kaun

    dekh ke jalva ḳhīra haiñ āñkheñ hosh meñ aanā mushkil hai

    aap kah deñ harf-e-tamannā apnī zabāñ par laa.e kaun

    jām-o-subū haiñ raqs meñ lekin chup lagī hai 'manzar' ko

    aage tasavvur duniyā meñ dil aag bujhā.e kaun

    zabt-e-alam se dil hai pareshan is dil ko samjhae kaun

    aankhon se aansu girte hain KHun in ko rulwae kaun

    chaak hai daman chaak-gareban aql-o-KHirad sab chhoD gae

    mausam-e-gul ke hangame ki aaKHir yaad dilae kaun

    un ka sabaat hai kitne din ka puchh lo ja kar phulon se

    KHanda-e-gul ya jashn-e-bahaaran un se dhoka khae kaun

    mahfil-e-mai hai tishna-labi hai pas-e-adab to lazim hai

    mana ki izn-e-am hai saqi baDh ke jam uThae kaun

    dekh ke jalwa KHira hain aankhen hosh mein aana mushkil hai

    aap hi kah den harf-e-tamanna apni zaban par lae kaun

    jam-o-subu hain raqs mein lekin chup si lagi hai 'manzar' ko

    aage tasawwur ki duniya mein dil ki aag bujhae kaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now