zabt-e-alam se ishq ka charcha siwa hua
zabt-e-alam se ishq kā charchā sivā huā
āshob-rozgār dil-e-mubtalā huā
thī be-sabātiyoñ meñ haqīqat majāz kī
dil kyoñ fareb-ḳhurda-e-naqsh-e-vafā huā
jab tak alag alag na hoñ ajzā pata kahāñ
maanā ki zarre zarre meñ hai vo chhupā huā
bas ai ḳhayāl-e-tauba ki huuñ tishna-kām-e-aish
rakhā hai mere sāmne sāġhar bharā huā
be-lutf ho na jaa.e kahīñ marg-e-be-kasī
ye kaun ro rahā hai sirhāne khaḌā huā
ham us ko ek jumbish-e-abrū se pā ga.e
vo raaz jo zabān-e-adū se adā huā
ai josh-e-ishq ye tirī jur.at se duur hai
yuuñ jalva-gāh meñ rahe pardā paḌā huā
dil vo jagah nahīñ ki haqīqat chhupī rahe
vahm-o-ḳhayāl ban ke vo aa.e to kyā huā
ujlat huī hai yād-e-suḳhan-hā-e-be-shumār
vo muñh chhupā ke baiTh rahe ye burā huā
nāseh ke dil meñ garmī-e-ulfat kahāñ se ho
hai ik charāġh vo bhī azal kā bujhā huā
ab ham haiñ aur kashmakash-e-mauj-e-iztirāb
kashtī Duboī aur alag nāḳhudā huā
uf ishq-e-fitna-sāz kī jādū-farebiyāñ
dil sā rafīq chashm-zadan meñ judā huā
rakkhī ho dar pe laash zamāna ho sogvār
tum ko qasam hai muñh se na kahnā ye kyā huā
khiñchte haiñ vo ḳhudā na kare parda faash ho
kyā dekhtā hai goshe meñ koī chhupā huā
botal baġhal meñ haath meñ sāġhar liye hue
ye kaun aa rahā hai idhar jhūmtā huā
'nāzish' jafā-e-charḳh kā shikva bajā durust
be-mehrī-e-butāñ kā tumheñ sāmnā huā
zabt-e-alam se ishq ka charcha siwa hua
aashob-rozgar dil-e-mubtala hua
thi be-sabaatiyon mein haqiqat majaz ki
dil kyon fareb-KHurda-e-naqsh-e-wafa hua
jab tak alag alag na hon ajza pata kahan
mana ki zarre zarre mein hai wo chhupa hua
bas ai KHayal-e-tauba ki hun tishna-kaam-e-aish
rakha hai mere samne saghar bhara hua
be-lutf ho na jae kahin marg-e-be-kasi
ye kaun ro raha hai sirhane khaDa hua
hum us ko ek jumbish-e-abru se pa gae
wo raaz jo zaban-e-adu se ada hua
ai josh-e-ishq ye teri jurat se dur hai
yun jalwa-gah mein rahe parda paDa hua
dil wo jagah nahin ki haqiqat chhupi rahe
wahm-o-KHayal ban ke wo aae to kya hua
ujlat hui hai yaad-e-suKHan-ha-e-be-shumar
wo munh chhupa ke baiTh rahe ye bura hua
naseh ke dil mein garmi-e-ulfat kahan se ho
hai ek charagh wo bhi azal ka bujha hua
ab hum hain aur kashmakash-e-mauj-e-iztirab
kashti Duboi aur alag naKHuda hua
uf ishq-e-fitna-saz ki jadu-farebiyan
dil sa rafiq chashm-zadan mein juda hua
rakkhi ho dar pe lash zamana ho sogwar
tum ko qasam hai munh se na kahna ye kya hua
khinchte hain wo KHuda na kare parda fash ho
kya dekhta hai goshe mein koi chhupa hua
botal baghal mein hath mein saghar liye hue
ye kaun aa raha hai idhar jhumta hua
'nazish' jafa-e-charKH ka shikwa baja durust
be-mehri-e-butan ka tumhein samna hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.